Taleef Haidar
Ghazal 14
Sher-o-Shayari 13
safar hī bas kār-e-zindagī hai
azaab kyā hai savāb kyā hai
safar hi bas kar-e-zindagi hai
azab kya hai sawab kya hai
-
Share this
- See Ghazal
vo ek lamha jise tum ne muḳhtasar jaanā
ham aaise lamhe meñ ik dāstāñ banāte haiñ
wo ek lamha jise tum ne muKHtasar jaana
hum aaise lamhe mein ek dastan banate hain
-
Share this
- See Ghazal
ye shahr apnī isī hāv-hū se zinda hai
tumhārī aur mirī guftugū se zinda hai
ye shahr apni isi haw-hu se zinda hai
tumhaari aur meri guftugu se zinda hai
-
Share this
- See Ghazal
inkār bhī karne kā bahāna nahīñ miltā
iqrār bhī karne kā mazā dekh rahe haiñ
inkar bhi karne ka bahana nahin milta
iqrar bhi karne ka maza dekh rahe hain
-
Share this
- See Ghazal
ḳhudā vajūd meñ hai aadmī ke hone se
aur aadmī kā tasalsul ḳhudā se qaa.em hai
KHuda wajud mein hai aadmi ke hone se
aur aadmi ka tasalsul KHuda se qaem hai
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 10
Videos 9
This video is playing from YouTube