aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1783 - 1824/5
koī is fasl meñ dīvāna huā hai shāyad
ki havā haath meñ zanjīr liye phirtī hai
koi is fasl mein diwana hua hai shayad
ki hawa hath mein zanjir liye phirti hai
kam huī bāñg-e-jaras bhī yā-rab
ham se vāmāñda kidhar jā.eñge
kam hui bang-e-jaras bhi ya-rab
hum se wamanda kidhar jaenge
kaun pāband-e-junūñ fasl-e-bahārāñ meñ na thā
is baras nañg-e-javānī thā jo zindāñ meñ na thā
kaun paband-e-junun fasl-e-bahaaran mein na tha
is baras nang-e-jawani tha jo zindan mein na tha
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books