Sher of Talib Husain Talib
aaj phir chāñd der se niklā
tum ne phir der kar dī aane meñ
aaj phir chand der se nikla
tum ne phir der kar di aane mein
dekh kar tum ko hairatī huuñ maiñ
kis qadar husn hai zamāne meñ
dekh kar tum ko hairati hun main
kis qadar husn hai zamane mein
maiñ chāñd bhej rahā huuñ ki tum ko dekh aa.e
tumhāre shahr meñ ab shaam ho ga.ī hogī
main chand bhej raha hun ki tum ko dekh aae
tumhaare shahr mein ab sham ho gai hogi
kisī kā milnā, bichhaḌnā aur ek do bāteñ
tamām silsila zeb-e-qalam na kar paayā
kisi ka milna, bichhaDna aur ek do baaten
tamam silsila zeb-e-qalam na kar paya
māl-o-zar kī qadr kyaa? ḳhūn-e-jigar ke sāmne
ahl-e-duniyā hech haiñ ahl-e-hunar ke sāmne
mal-o-zar ki qadr kya? KHun-e-jigar ke samne
ahl-e-duniya hech hain ahl-e-hunar ke samne
phir mirā dhyān gyaan TuuT gayā
phir tirī bhuuk mārtī hai mujhe
phir mera dhyan gyan TuT gaya
phir teri bhuk marti hai mujhe