Tarkash Pradeep
Ghazal 11
Sher-o-Shayari 14
pāgal vahshī tanhā tanhā ujḌā ujḌā dikhtā huuñ
kitne ā.īne badle haiñ maiñ vaise kā vaisā huuñ
pagal wahshi tanha tanha ujDa ujDa dikhta hun
kitne aaine badle hain main waise ka waisa hun
-
Share this
- See Ghazal
banātā huuñ maiñ tasavvur meñ us kā chehra magar
har ek baar na.ī kā.enāt bantī hai
banata hun main tasawwur mein us ka chehra magar
har ek bar nai kaenat banti hai
-
Share this
- See Ghazal
aaj phir ḳhud se ḳhafā huuñ to yahī kartā huuñ
aaj phir ḳhud se koī baat nahīñ kartā maiñ
aaj phir KHud se KHafa hun to yahi karta hun
aaj phir KHud se koi baat nahin karta main
-
Share this
- See Ghazal
merā piñjra khol diyā hai tum bhī ajiib shikārī ho
apne hī par kaaT liye haiñ maiñ bhī ajiib parinda huuñ
mera pinjra khol diya hai tum bhi ajib shikari ho
apne hi par kaT liye hain main bhi ajib parinda hun
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
ka.ii a.ndhero.n ke milne se raat bantii hai aur is ke baa'd charaaGo.n kii baat bantii hai kare jo ko.ii to mismaar hii nahii.n hotii na jaane kaun se miTTii kii zaat bantii hai banaataa huu.n mai.n tasavvur me.n us kaa chehra magar har ek baar na.ii kaa.enaat bantii hai akele ko.ii banaa hii nahii.n sakaa mujh ko ko.ii banaa.e to tanhaa.ii saath bantii hai