Sher of Tasveer Dehlvi
tamannā jo na rakhtā ho jhukā.e vo nazar kis se
use shādī o ġham kis kā use suud o zarar kis se
tamanna jo na rakhta ho jhukae wo nazar kis se
use shadi o gham kis ka use sud o zarar kis se
dil ko ro baiThe ki dil le ke vo ghar baiTh rahe
ham idhar baiTh rahe aur vo udhar baiTh rahe
dil ko ro baiThe ki dil le ke wo ghar baiTh rahe
hum idhar baiTh rahe aur wo udhar baiTh rahe
dil us chashm ko vo dil-e-zār ko
ki dekhe hai bīmār bīmār ko
dil us chashm ko wo dil-e-zar ko
ki dekhe hai bimar bimar ko
vo kaun sī jafā hai ki jo tum ne kī nahīñ
vo kaun sā sitam hai jo maiñ ne sahā nahīñ
wo kaun si jafa hai ki jo tum ne ki nahin
wo kaun sa sitam hai jo main ne saha nahin
aisā tire firāq meñ bīmār ho gayā
maiñ chārāgar kī jaan ko āzār ho gayā
aisa tere firaq mein bimar ho gaya
main chaaragar ki jaan ko aazar ho gaya