Tripurari
Ghazal 14
Nazm 5
Sher-o-Shayari 22
ai havā tū hī use eid-mubārak kahiyo
aur kahiyo ki koī yaad kiyā kartā hai
ai hawa tu hi use eid-mubarak kahiyo
aur kahiyo ki koi yaad kiya karta hai
- Add to favorites
-
Share this
tum jise chāñd kahte ho vo asl meñ
āsmāñ ke badan par koī ghaav hai
tum jise chand kahte ho wo asl mein
aasman ke badan par koi ghaw hai
- Add to favorites
-
Share this
kitnī dilkash haiñ ye bārish kī phuvāreñ lekin
aisī bārish meñ mirī jaan bhī jā saktī hai
kitni dilkash hain ye barish ki phuwaren lekin
aisi barish mein meri jaan bhi ja sakti hai
- Add to favorites
-
Share this
mohabbat meñ shikāyat kar rahā huuñ
shikāyat meñ mohabbat kar rahā huuñ
mohabbat mein shikayat kar raha hun
shikayat mein mohabbat kar raha hun
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
jise tum DhūñDtī rahtī ho mujh meñ
vo laḌkā jaane kab kā mar chukā hai
jise tum DhunDti rahti ho mujh mein
wo laDka jaane kab ka mar chuka hai
- Add to favorites
-
Share this
Image Shayari 4
is tarah rasm mohabbat kii adaa hotii hai aaj se terii mirii raah judaa hotii hai mai.n kisii aur hii duniyaa me.n pahu.nch jaataa huu.n jab bhii kaano.n me.n azaano.n kii sadaa hotii hai bad-du.aa ko.ii agar de to buraa mat maano bad-du.aa bhii to mirii jaan du.aa hotii hai nii.nd ke saath hii ik baab nayaa khultaa hai KHvaab ke TuuTne ju.Dne kii kathaa hotii hai jism kii vaadiyo.n me.n rah ke ye jaanaa mai.n ne jism kii pyaas to ghanghor ghaTaa hotii hai mai.n tujhe chho.D ke hargiz nahii.n jaane vaalaa ai mirii jaan tuu be-vaj.h KHafaa hotii hai do javaa.n dil jo mohabbat me.n kabhii pa.D jaa.e.n kyaa ye sach-much me.n KHudaa kii hii KHataa hotii hai