Sher of Vilas Pandit Musafir
mehnat kar ke ham to āḳhir bhūke bhī so jā.eñge
yā maulā tū barkat rakhnā bachchoñ kī guḌ-dhānī meñ
mehnat kar ke hum to aaKHir bhuke bhi so jaenge
ya maula tu barkat rakhna bachchon ki guD-dhani mein
-
Tag : Mazdoor
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
lene vaale to sabhī kuchh le ga.e
aap bhī ehsān thoḌā kījiye
lene wale to sabhi kuchh le gae
aap bhi ehsan thoDa kijiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
roz hī piinā roz pilānā roz ġhamoñ se Takrānā
ik din mai ko bhuul ke aao gañgā-jal kī baat kareñ
roz hi pina roz pilana roz ghamon se Takrana
ek din mai ko bhul ke aao ganga-jal ki baat karen
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik samundar ke havāle saare ḳhat kartā rahā
vo hamāre saath apne ġham ġhalat kartā rahā
ek samundar ke hawale sare KHat karta raha
wo hamare sath apne gham ghalat karta raha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download