Sher of Wafa Naqvi
zamīñ uThegī nahīñ āsmāñ jhukegā nahīñ
anā-parast haiñ donoñ ke ḳhāndān bahut
zamin uThegi nahin aasman jhukega nahin
ana-parast hain donon ke KHandan bahut
chhupā rahtā hai dast-e-ārzū ḳhuddār logoñ kā
baḌī mushkil se apnī zaat kā iz.hār karte haiñ
chhupa rahta hai dast-e-arzu KHuddar logon ka
baDi mushkil se apni zat ka izhaar karte hain
bas ik nishān sā baaqī thā kachche āñgan meñ
parinda lauT ke aaya to mar chukā thā daraḳht
bas ek nishan sa baqi tha kachche aangan mein
parinda lauT ke aaya to mar chuka tha daraKHt
ḳhizāñ aane nahīñ dūñgā kabhī maiñ apne phūloñ par
gulistāñ ko lahū de kar sañvārūñgā ye vā'da hai
KHizan aane nahin dunga kabhi main apne phulon par
gulistan ko lahu de kar sanwarunga ye wa'da hai
sab log chal rahe the saḌak par milā ke haath
dekhā jo ġhaur se to kisī kā koī na thā
sab log chal rahe the saDak par mila ke hath
dekha jo ghaur se to kisi ka koi na tha
ye sāzishoñ kā daur hai ai tishna-lab hayāt
paanī talāsh karnā samundar ko chhoḌ kar
ye sazishon ka daur hai ai tishna-lab hayat
pani talash karna samundar ko chhoD kar
koī kaise pā sakegā sā.ebānī meñ sukūn
dhuup jab baiThī huī ho sāya-e-dīvār meñ
koi kaise pa sakega saebani mein sukun
dhup jab baiThi hui ho saya-e-diwar mein
ab un se paa.ī hai taklīf to shikāyat kyā
hamīñ ne sar pe chaḌhāyā thā kuchh kamīnoñ ko
ab un se pai hai taklif to shikayat kya
hamin ne sar pe chaDhaya tha kuchh kaminon ko
har daur kā shahīd tire qāfile meñ hai
hotī nahīñ husain tirī karbalā tamām
har daur ka shahid tere qafile mein hai
hoti nahin husain teri karbala tamam
bas ek pal kī tamannā-e-vasl kī ḳhātir
tamām 'umr lagā dī ga.ī sañvarne meñ
bas ek pal ki tamanna-e-wasl ki KHatir
tamam 'umr laga di gai sanwarne mein
hamīñ se ajnabī lahje meñ baat kartī hai
hamāre ghar kī hamāre dayār kī miTTī
hamin se ajnabi lahje mein baat karti hai
hamare ghar ki hamare dayar ki miTTi
ye kise zanjīr-basta kar ke laa.ī hai hayāt
qaid-ḳhāna ho rahā hai kyoñ munavvar dekhnā
ye kise zanjir-basta kar ke lai hai hayat
qaid-KHana ho raha hai kyon munawwar dekhna
ek hī rang meñ jiine kā hunar sīkhā hai
ham se har baat pe chehra nahīñ badlā jaatā
ek hi rang mein jine ka hunar sikha hai
hum se har baat pe chehra nahin badla jata
is bhiiḌ meñ duniyā kī ham tum na bichhaḌ jaa.eñ
maiñ tum pe nazar rakkhūñ tum mujh pe nazar rakhnā
is bhiD mein duniya ki hum tum na bichhaD jaen
main tum pe nazar rakkhun tum mujh pe nazar rakhna
aaya na phir bhī chāñd utar kar zamīn par
karte rahe daraḳht ishāre tamām raat
aaya na phir bhi chand utar kar zamin par
karte rahe daraKHt ishaare tamam raat
ahl-e-junūñ pasand na the us ko is liye
Thukrā diyā gayā mujhe majzūb dekh kar
ahl-e-junun pasand na the us ko is liye
Thukra diya gaya mujhe majzub dekh kar
ab ye ḳhvāhish hai kareñ log hamārī ġhībat
phail jaa.eñ tirī galiyoñ meñ ḳhabar kī sūrat
ab ye KHwahish hai karen log hamari ghibat
phail jaen teri galiyon mein KHabar ki surat
ġhanīmat jaan ghar ke is sukūñ ko
daraḳhtoñ kā abhī saayā ghanā hai
ghanimat jaan ghar ke is sukun ko
daraKHton ka abhi saya ghana hai