Sher of Wafa Shahjahanpuri
nazroñ kī tashaffī kā bhī kar de koī sāmāñ
dil ke to bahalne ko tirā naam bahut hai
nazron ki tashaffi ka bhi kar de koi saman
dil ke to bahalne ko tera nam bahut hai
mujh ko havas-e-bāda-o-sāġhar nahīñ saaqī
un mast nigāhoñ kā bas ik jaam bahut hai
mujh ko hawas-e-baada-o-saghar nahin saqi
un mast nigahon ka bas ek jam bahut hai
ye kyā hai ki zikr-e-ġham-e-ayyām bahut hai
shīshe meñ abhī to mai-e-gulfām bahut hai
ye kya hai ki zikr-e-gham-e-ayyam bahut hai
shishe mein abhi to mai-e-gulfam bahut hai
martā huuñ havas meñ ġham-e-jāved kī varna
jiine ko tire hijr kī ik shaam bahut hai
marta hun hawas mein gham-e-jawed ki warna
jine ko tere hijr ki ek sham bahut hai