Sher of Wahab Danish
jañgaloñ meñ ghūmte phirte haiñ shahroñ ke faqīh
kyā daraḳhtoñ se bhī chhin jā.egā aalam vajd kā
jangalon mein ghumte phirte hain shahron ke faqih
kya daraKHton se bhi chhin jaega aalam wajd ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
khul gayā raaz chhupī chaah kā sab mahfil par
naam le kar jo mirā us se pukārā na gayā
khul gaya raaz chhupi chah ka sab mahfil par
nam le kar jo mera us se pukara na gaya
jab safar kī dhuup meñ murjhā ke ham do pal ruke
ek tanhā peḌ thā merī tarah jaltā huā
jab safar ki dhup mein murjha ke hum do pal ruke
ek tanha peD tha meri tarah jalta hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo rañg kā hujūm sā vo ḳhushbuoñ kī bhiiḌ sī
vo lafz lafz se javāñ vo harf harf se hasīñ
wo rang ka hujum sa wo KHushbuon ki bhiD si
wo lafz lafz se jawan wo harf harf se hasin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
in parbatoñ ke biich thī mastūr ik guphā
patthar kī narmiyoñ meñ thī mahfūz kā.enāt
in parbaton ke bich thi mastur ek gupha
patthar ki narmiyon mein thi mahfuz kaenat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download