aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
mumkin hai ashk ban ke rahūñ chashm-e-yār meñ
mumkin hai bhuul jaa.e ġham-e-rozgār meñ
mumkin hai ashk ban ke rahun chashm-e-yar mein
mumkin hai bhul jae gham-e-rozgar mein
zanjīr zulf-e-siyāh samundar nigāh-e-shoḳh
jā.ūñ kahāñ farār kā rasta koī to ho
zanjir zulf-e-siyah samundar nigah-e-shoKH
jaun kahan farar ka rasta koi to ho
har aañkh ik savāl tahī-dast ke liye
kab tak marūñgā mere ḳhudā baar baar maiñ
har aankh ek sawal tahi-dast ke liye
kab tak marunga mere KHuda bar bar main
kuchh vaqt apne saath guzārūñgā maiñ 'zamīr'
ḳhud se agar milā jo kabhī kū-e-yār meñ
kuchh waqt apne sath guzarunga main 'zamir'
KHud se agar mila jo kabhi ku-e-yar mein
kis se karūñ maiñ apnī tabāhī kā ab gila
ḳhud hī kamāñ-ba-dast huuñ ḳhud hī shikār maiñ
kis se karun main apni tabahi ka ab gila
KHud hi kaman-ba-dast hun KHud hi shikar main
Sign up and enjoy FREE unlimited access to a whole Universe of Urdu Poetry, Language Learning, Sufi Mysticism, Rare Texts
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books