Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Yaseen Zameer's Photo'

Yaseen Zameer

Sher of Yaseen Zameer

mumkin hai ashk ban ke rahūñ chashm-e-yār meñ

mumkin hai bhuul jaa.e ġham-e-rozgār meñ

mumkin hai ashk ban ke rahun chashm-e-yar mein

mumkin hai bhul jae gham-e-rozgar mein

zanjīr zulf-e-siyāh samundar nigāh-e-shoḳh

jā.ūñ kahāñ farār rasta koī to ho

zanjir zulf-e-siyah samundar nigah-e-shoKH

jaun kahan farar ka rasta koi to ho

har aañkh ik savāl tahī-dast ke liye

kab tak marūñgā mere ḳhudā baar baar maiñ

har aankh ek sawal tahi-dast ke liye

kab tak marunga mere KHuda bar bar main

kuchh vaqt apne saath guzārūñgā maiñ 'zamīr'

ḳhud se agar milā jo kabhī kū-e-yār meñ

kuchh waqt apne sath guzarunga main 'zamir'

KHud se agar mila jo kabhi ku-e-yar mein

kis se karūñ maiñ apnī tabāhī ab gila

ḳhud kamāñ-ba-dast huuñ ḳhud shikār maiñ

kis se karun main apni tabahi ka ab gila

KHud hi kaman-ba-dast hun KHud hi shikar main

muddat huī hai dast-o-garebāñ hue hameñ

ummīd nā-umīdī ḳhudā rozgār meñ

muddat hui hai dast-o-gareban hue hamein

ummid na-umidi KHuda rozgar mein

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now