Sher of Yashvardhan Mishra
rang saare aa ga.e 'āriz pe mere
jab kahā us ne mujhe holī mubārak
rang sare aa gae 'ariz pe mere
jab kaha us ne mujhe holi mubarak
jab se Tāñgī hai tirī tasvīr dil kī alganī par
yaañ tabhī se din meñ titlī baiThtī hai shab meñ jugnū
jab se Tangi hai teri taswir dil ki algani par
yan tabhi se din mein titli baiThti hai shab mein jugnu
rakh liyā thā maiñ ne roza jaañ tumhāre naam kā
tum ko dekhā ḳhvāb meñ aur merī sehrī ho ga.ī
rakh liya tha main ne roza jaan tumhaare nam ka
tum ko dekha KHwab mein aur meri sehri ho gai
dekh saktā huuñ binā chashme ke maiñ
dost terī bevafā.ī saaf saaf
dekh sakta hun bina chashme ke main
dost teri bewafai saf saf
chāhiye thī aap kī tasvīr so
khīñch lī tasvīr maiñ ne chāñd kī
chahiye thi aap ki taswir so
khinch li taswir main ne chand ki
daf'atan maiñ Thiik ho saktā huuñ chārāgar mire
tū mujhe pahnā de us ke naam kā tā'vīz gar
daf'atan main Thik ho sakta hun chaaragar mere
tu mujhe pahna de us ke nam ka ta'wiz gar
aaj kī shab ḳhvāb meñ bāteñ huī haiñ jin se merī
yā-ḳhudā ik roz ho jaa.e mujhe dīdār un kā
aaj ki shab KHwab mein baaten hui hain jin se meri
ya-KHuda ek roz ho jae mujhe didar un ka
tīrgī-e-zīst kar dī ḳhatm is ne
raushnī hai phuul sī bachchī hamārī
tirgi-e-zist kar di KHatm is ne
raushni hai phul si bachchi hamari
ham tirā naam bench par apnī
roz likhte haiñ aur miTāte haiñ
hum tera nam bench par apni
roz likhte hain aur miTate hain
raushnī bhī tīrgī bhī saath hai yā yuuñ kaheñ
zindagī ḳhush hai magar ḳhush bhī tavā.if kī tarah
raushni bhi tirgi bhi sath hai ya yun kahen
zindagi KHush hai magar KHush bhi tawaif ki tarah
udāsī rāstā batlā rahī hai haath pakḌe yuuñ
pata mā'lūm ho jaise hamārī maut kā is ko
udasi rasta batla rahi hai hath pakDe yun
pata ma'lum ho jaise hamari maut ka is ko
jab lage ḳhud ko kabhī bīmār se ham
lag ke ro.eñ haiñ dar-o-dīvār se ham
jab lage KHud ko kabhi bimar se hum
lag ke roen hain dar-o-diwar se hum
dil kā kamra raushnī se bhar gayā
jab jalā dīpak tumhārī yaad kā
dil ka kamra raushni se bhar gaya
jab jala dipak tumhaari yaad ka
banā hogā kisī bhī roz to patthar banā hogā
kahīñ phir baa'd meñ vo shaḳhs chārāgar banā hogā
bana hoga kisi bhi roz to patthar bana hoga
kahin phir ba'd mein wo shaKHs chaaragar bana hoga
tumhāre bin nahīñ lete kabhī karvaT akele ham
tumhārī yaad bhī karvaT hamāre saath letī hai
tumhaare bin nahin lete kabhi karwaT akele hum
tumhaari yaad bhi karwaT hamare sath leti hai