Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Zafar Ghauri

Sher of Zafar Ghauri

tirā yaqīn huuñ maiñ kab se is gumān meñ thā

maiñ zindagī ke baḌe saḳht imtihān meñ thā

tera yaqin hun main kab se is guman mein tha

main zindagi ke baDe saKHt imtihan mein tha

dil meñ rakh zaḳhm-e-navā raah meñ kaam aa.egā

dasht-e-be-samt meñ ik maqām aa.egā

dil mein rakh zaKHm-e-nawa rah mein kaam aaega

dasht-e-be-samt mein ek hu ka maqam aaega

log samjhe apnī sachchā.ī ḳhātir jaan

varna ham to jurm iqrār karne aa.e the

log samjhe apni sachchai ki KHatir jaan di

warna hum to jurm ka iqrar karne aae the

be-charāġhāñ bastiyoñ ko zindagī de

ik sitam aisā bhī kar ījād taaza

be-charaghan bastiyon ko zindagi de

ek sitam aisa bhi kar ijad taza

Recitation

Speak Now