Sher of Zahida Kamal
afsāna-e-hayāt banī phuul ban ga.ī
jab muskurā.ī koī kalī iztirāb meñ
afsana-e-hayat bani phul ban gai
jab muskurai koi kali iztirab mein
kahnā paḌā unhīñ ko masīhā-e-vaqt bhī
jin se hamāre dard kā darmāñ na ho sakā
kahna paDa unhin ko masiha-e-waqt bhi
jin se hamare dard ka darman na ho saka
shāmil na hote husn ke jalve agar 'kamāl'
hotā kahāñ ye nuur shab-e-māhtāb meñ
shamil na hote husn ke jalwe agar 'kamal'
hota kahan ye nur shab-e-mahtab mein
jab tak tumhārā husn numāyāñ na ho sakā
raushan charāġh-e-ālam-e-imkān na ho sakā
jab tak tumhaara husn numayan na ho saka
raushan charagh-e-alam-e-imkan na ho saka