Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zahoor Minhas's Photo'

Zahoor Minhas

1996 | Muzaffarabad, Pakistan

Zahoor Minhas

Ghazal 7

Sher-o-Shayari 19

kahīñ kahīñ se jo kapḌoñ meñ bhī nahīñ Dhaltā

maiñ us badan ko bhī she'roñ meñ Dhaal letā huuñ

kahin kahin se jo kapDon mein bhi nahin Dhalta

main us badan ko bhi she'ron mein Dhaal leta hun

  • Share this

bhejī tasvīr bhī to āñkhoñ

yā'nī āñkheñ dikhā rahī ho mujhe

bheji taswir bhi to aankhon ki

ya'ni aankhen dikha rahi ho mujhe

  • Share this

du'ā hai ye raqīb bhī mirī tarah ḳhvār ho

maiñ chāhtā huuñ aap raqīb se banī rahe

du'a hai ye raqib bhi meri tarah hi KHwar ho

main chahta hun aap ki raqib se bani rahe

  • Share this

rail paTrī pe bhī leTe haiñ log

yā'nī paTrī se utar jaate haiñ log

rail ki paTri pe bhi leTe hain log

ya'ni paTri se utar jate hain log

  • Share this

vo thak ga.ī thī bhiiḌ meñ chalte hue 'zahūr'

us ke badan pe an-ginat āñkhoñ bojh thā

wo thak gai thi bhiD mein chalte hue 'zahur'

us ke badan pe an-ginat aankhon ka bojh tha

  • Share this

More Poets From "Muzaffarabad"

 

Recitation

Speak Now