Sher of Zahoor Minhas
du'ā hai ye raqīb bhī mirī tarah hī ḳhvār ho
maiñ chāhtā huuñ aap kī raqīb se banī rahe
du'a hai ye raqib bhi meri tarah hi KHwar ho
main chahta hun aap ki raqib se bani rahe
hama bayāz the har samt qurmuzī 'āriz
maiñ kaise sā’ad-e-sīmīñ pe dastaḳhat kartā
hama bayaz the har samt qurmuzi 'ariz
main kaise sa’ad-e-simin pe dastaKHat karta
kahīñ kahīñ se jo kapḌoñ meñ bhī nahīñ Dhaltā
maiñ us badan ko bhī she'roñ meñ Dhaal letā huuñ
kahin kahin se jo kapDon mein bhi nahin Dhalta
main us badan ko bhi she'ron mein Dhaal leta hun
jiinā hai gar to zaḳhm lagā apne aap ko
bachne ko āñdhiy.oñ se tū ḳheme meñ chhed kar
jina hai gar to zaKHm laga apne aap ko
bachne ko aandhiyon se tu KHeme mein chhed kar
un ke naqsh-e-qadam pe chalnā hai
vo jo manzil pe sar ke bal pahuñche
un ke naqsh-e-qadam pe chalna hai
wo jo manzil pe sar ke bal pahunche
ḳhudā kā shukr ki chhoTī sī hai ḳhudā kī zamīñ
ḳhudā kā shukr ki tum bhī isī zamīn pe ho
KHuda ka shukr ki chhoTi si hai KHuda ki zamin
KHuda ka shukr ki tum bhi isi zamin pe ho
bhejī tasvīr bhī to āñkhoñ kī
yā'nī āñkheñ dikhā rahī ho mujhe
bheji taswir bhi to aankhon ki
ya'ni aankhen dikha rahi ho mujhe
fikr-e-tajdīd-e-hijr hai varna
kab mujhe vasl kī zarūrat hai
fikr-e-tajdid-e-hijr hai warna
kab mujhe wasl ki zarurat hai
is qadar qahqahe haiñ duniyā meñ
sharm aatī hai mujh ko rote hue
is qadar qahqahe hain duniya mein
sharm aati hai mujh ko rote hue
ye to insāniyat ko Thokar hai
aadmī aadmī kā naukar hai
ye to insaniyat ko Thokar hai
aadmi aadmi ka naukar hai
maiñ badaltā huuñ roz apnā hadaf
ye mirī mustaqil-mizājī hai
main badalta hun roz apna hadaf
ye meri mustaqil-mizaji hai
rail kī paTrī pe bhī leTe haiñ log
yā'nī paTrī se utar jaate haiñ log
rail ki paTri pe bhi leTe hain log
ya'ni paTri se utar jate hain log
tamām shahr meñ bārish kī dhaak baiTh ga.ī
jo uḌ rahī thī havāoñ meñ ḳhaak baiTh ga.ī
tamam shahr mein barish ki dhak baiTh gai
jo uD rahi thi hawaon mein KHak baiTh gai
gaaḌī meñ bhī ghar ko soche jaatā huuñ
gaaḌī aage aur maiñ pīchhe jaatā huuñ
gaDi mein bhi ghar ko soche jata hun
gaDi aage aur main pichhe jata hun
vo thak ga.ī thī bhiiḌ meñ chalte hue 'zahūr'
us ke badan pe an-ginat āñkhoñ kā bojh thā
wo thak gai thi bhiD mein chalte hue 'zahur'
us ke badan pe an-ginat aankhon ka bojh tha
jamāliyāt kī shah-surḳhiyāñ bhī paḌh lenā
kitāb-e-sīna-e-doshīzgāñ bhī paḌh lenā
jamaliyat ki shah-surKHiyan bhi paDh lena
kitab-e-sina-e-doshizgan bhi paDh lena
dard kā ehsās rakkhā hai faqat insān meñ
haif dīmak jī rahī hai 'mīr' ke dīvān meñ
dard ka ehsas rakkha hai faqat insan mein
haif dimak ji rahi hai 'mir' ke diwan mein
koī bhī hal nahīñ udāsī kā
mujh se kamre ne bārhā pūchhā
koi bhi hal nahin udasi ka
mujh se kamre ne barha puchha