Sher of Zia-ul-Haq Qasmi
mujhe apnī biivī pe faḳhr hai mujhe apne saale pe naaz hai
nahīñ dosh donoñ kā is meñ kuchh mujhe DāñTtā koī aur hai
mujhe apni biwi pe faKHr hai mujhe apne sale pe naz hai
nahin dosh donon ka is mein kuchh mujhe DanTta koi aur hai
vo bharī bazm meñ kahtī hai mujhe uncle-jī
diplomacy hai ye kaisī mirī ham-sā.ī kī
wo bhari bazm mein kahti hai mujhe uncle-ji
diplomacy hai ye kaisi meri ham-sai ki
maiñ jise hiir samajhtā thā vo rāñjhā niklā
baat niyyat kī nahīñ baat hai bīnā.ī kī
main jise hir samajhta tha wo ranjha nikla
baat niyyat ki nahin baat hai binai ki
kabhī likhne likhāne kī to naubat hī nahīñ aatī
maiñ naaḌā Daal letā huuñ zarūrat jab bhī paḌtī hai
kabhi likhne likhane ki to naubat hi nahin aati
main naDa Dal leta hun zarurat jab bhi paDti hai
kahte haiñ ki lailā kā ta'alluq thā arab se
ye rang to africa o makrān meñ dekhā
kahte hain ki laila ka ta'alluq tha arab se
ye rang to africa o makran mein dekha
mehmān-navāzī to bahut hotī hai lekin
cigarette kī jo hājat ho to garage meñ jaa.eñ
mehman-nawazi to bahut hoti hai lekin
cigarette ki jo hajat ho to garage mein jaen
mire rob meñ to vo aa gayā mire sāmne to vo jhuk gayā
mujhe laat khā ke huī ḳhabar mujhe pīTtā koī aur hai
mere rob mein to wo aa gaya mere samne to wo jhuk gaya
mujhe lat kha ke hui KHabar mujhe piTta koi aur hai
doctor se maiñ ilāj-e-dil karāne jab gayā
mashvara us ne diyā tū sher kahnā chhoḌ de
doctor se main ilaj-e-dil karane jab gaya
mashwara us ne diya tu sher kahna chhoD de
mere taayā se vo haiñ umr meñ das saal baḌī
ghar ke har fard pe dahshat hai mirī taa.ī kī
mere taya se wo hain umr mein das sal baDi
ghar ke har fard pe dahshat hai meri tai ki
ḳhush hote haiñ ham log agar koī hasīna
is umr ham par koī tohmat hī lagā.e
KHush hote hain hum log agar koi hasina
is umr hum par koi tohmat hi lagae
nikālīñ Taañg se aur joḌ dī haiñ dil ke pahlū meñ
lagā hai ḳhuub kyā kam-ḳhvāb meñ ye Taañg kā paivand
nikalin Tang se aur joD di hain dil ke pahlu mein
laga hai KHub kya kam-KHwab mein ye Tang ka paiwand
jaane kā naam hī nahīñ letā vo nek-baḳht
''muddat huī hai yaar ko mehmāñ kiye hue''
jaane ka nam hi nahin leta wo nek-baKHt
muddat hui hai yar ko mehman kiye hue
hai ajab nizām zakāt kā mire mulk meñ mire des meñ
ise kāTtā koī aur hai ise bāñTtā koī aur hai
hai ajab nizam zakat ka mere mulk mein mere des mein
ise kaTta koi aur hai ise banTta koi aur hai
sar-e-bazm mujh ko uThā diyā mujhe maar maar liTā diyā
mujhe mārtā koī aur hai vale hāñptā koī aur hai
sar-e-bazm mujh ko uTha diya mujhe mar mar liTa diya
mujhe marta koi aur hai wale hanpta koi aur hai