aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
mauzū'-e-guftugū to hai jinsī jamāliyāt
aur markaz-e-ḳhayāl tumhārā hī jism hai
mauzu'-e-guftugu to hai jinsi jamaliyat
aur markaz-e-KHayal tumhaara hi jism hai
tirī mā'sūm nigāhoñ ke taqaddus ke tufail
'ishq tahzīb se ārāsta ho jaatā hai
teri ma'sum nigahon ke taqaddus ke tufail
'ishq tahzib se aarasta ho jata hai
is vāste muhāl hai ham donoñ meñ nibāh
tū ḳhud-numā hai maiñ bhī riyā ke ḳhilāf huuñ
is waste muhaal hai hum donon mein nibah
tu KHud-numa hai main bhi riya ke KHilaf hun
zindagī se milā nahīñ kuchh bhī
phir bhī ik aas hai musalsal hai
zindagi se mila nahin kuchh bhi
phir bhi ek aas hai musalsal hai
roz miltā hai bulandī kā nayā ziina mujhe
roz taklīf ka.ī logoñ ko ho jaatī hai
roz milta hai bulandi ka naya zina mujhe
roz taklif kai logon ko ho jati hai
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books