Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zubair Farooq's Photo'

Zubair Farooq

1956 | Dubai, UAE

Sher of Zubair Farooq

hai harf harf zaḳhm sūrat khilā huā

fursat mile to tum mirā dīvān dekhnā

hai harf harf zaKHm ki surat khila hua

fursat mile to tum mera diwan dekhna

itnī sardī hai ki maiñ bāñhoñ harārat māñgūñ

rut ye mauzūñ hai kahāñ ghar se nikalne ke liye

itni sardi hai ki main banhon ki hararat mangun

rut ye mauzun hai kahan ghar se nikalne ke liye

phir bhī kyuuñ us se mulāqāt na hone paa.ī

maiñ jahāñ rahtā thā vo bhī to vahīñ rahtā thā

phir bhi kyun us se mulaqat na hone pai

main jahan rahta tha wo bhi to wahin rahta tha

ek ik kar ke bahut dukh saath mere ho liye

marhala-dar-marhala ik qāfila bantā gayā

ek ek kar ke bahut dukh sath mere ho liye

marhala-dar-marhala ek qafila banta gaya

har taraf phailā huā thā be-yaqīnī dhuāñ

ḳhud-baḳhud 'fārūq' phir ik rāsta bantā gayā

har taraf phaila hua tha be-yaqini ka dhuan

KHud-baKHud 'faruq' phir ek rasta banta gaya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now