Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Iftikhar Haidar's Photo'

Iftikhar Haidar

1975 | Lahore, Pakistan

Sher of Iftikhar Haidar

254
Favorite

SORT BY

shaam hote tere hijr dukh

dil meñ ḳhema lagā ke baiTh gayā

sham hote hi tere hijr ka dukh

dil mein KHema laga ke baiTh gaya

shahr meñ thī nā-sāz tabī.at beTe

gaañv meñ baiThī maañ ne khānā chhoḌ diyā

shahr mein thi na-saz tabiat beTe ki

ganw mein baiThi man ne khana chhoD diya

apne lahje pe ġhaur kar ke batā

lafz kitne haiñ tiir kitne haiñ

apne lahje pe ghaur kar ke bata

lafz kitne hain tir kitne hain

tire baġhair guzārā nahīñ kisī sūrat

use ye baat batāne se baat bigḌī hai

tere baghair guzara nahin kisi surat

use ye baat batane se baat bigDi hai

tere qadmoñ meñ aa ke girnā hai

jis bulandī pe bhī uchhāl mujhe

tere qadmon mein aa ke girna hai

jis bulandi pe bhi uchhaal mujhe

tab mirī aas TuuT jaatī hai

jab mirī aas log hote haiñ

tab meri aas TuT jati hai

jab meri aas log hote hain

miir ke kuchh ash.ār milā kar rāshid kuchh nazmoñ meñ

vahshat āmezish kar ke ik uslūb banānā hai

mir ke kuchh ashaar mila kar rashid ki kuchh nazmon mein

wahshat ki aamezish kar ke ek uslub banana hai

be-ḳhatā hai phir bhī Dar ai dost

be-ḳhatā na dhar liyā jaa.e

be-KHata hai tu phir bhi Dar ai dost

be-KHata hi na dhar liya jae

bijlī ga.ī to vo bhī hamāre makān

bijlī girī to vo bhī hamāre makān par

bijli gai to wo bhi hamare makan ki

bijli giri to wo bhi hamare makan par

ajiib dard us lamha-e-visāl meñ thā

ki zaḳhm se bhī baḌā karb indimāl meñ thā

ajib dard sa us lamha-e-visal mein tha

ki zaKHm se bhi baDa karb indimal mein tha

siiTī āvāz sunī aur saarā maazī lauT aayā

pas-manzar meñ rail nahīñ hai puurā ek afsāna hai

siTi ki aawaz suni aur sara mazi lauT aaya

pas-manzar mein rail nahin hai pura ek afsana hai

aisoñ vaisoñ ke qasīde nahīñ likkhe jaate

sher likh letā huuñ sehre nahīñ likkhe jaate

aison waison ke qaside nahin likkhe jate

sher likh leta hun sehre nahin likkhe jate

ye jo tum maut se Darāte ho

zindagī sab mas.ala nahīñ hai

ye jo tum maut se Daraate ho

zindagi sab ka masala nahin hai

sau tarah ke vabāl haiñ lekin

phir bhī zinda haiñ ān-bān ke saath

sau tarah ke wabaal hain lekin

phir bhi zinda hain aan-ban ke sath

umīdeñ bāñdh rakkhī haiñ tire lutf-o-karam se

siyah-a.amāl huuñ to goshvāra kaun dekhe

umiden bandh rakkhi hain tere lutf-o-karam se

siyah-amal hun to goshwara kaun dekhe

ham zamāna-shanās the phir bhī

dāstāñ-go pe e'tibār kiyā

hum zamana-shanas the phir bhi

dastan-go pe e'tibar kiya

jitnī fursat hai zindagī meñ nasīb

utnī fursat meñ maiñ se ho

jitni fursat hai zindagi mein nasib

utni fursat mein main se tu ho ja

saañs taaza havā ke chakkar meñ

saarā gard-o-ġhubār khīñchtī hai

sans taza hawa ke chakkar mein

sara gard-o-ghubar khinchti hai

Recitation

Speak Now