Rajendera Krishan
Ghazal 15
Sher-o-Shayari 9
na jhaTko zulf se paanī ye motī TuuT jā.eñge
tumhārā kuchh na bigḌegā magar dil TuuT jā.eñge
na jhaTko zulf se pani ye moti TuT jaenge
tumhaara kuchh na bigDega magar dil TuT jaenge
-
Share this
- See Ghazal
na chārāgar kī zarūrat na kuchh davā kī hai
duā ko haath uThāo ki ġham kī raat kaTe
na chaaragar ki zarurat na kuchh dawa ki hai
dua ko hath uThao ki gham ki raat kaTe
-
Share this
- See Ghazal
log ro ro ke bhī is duniyā meñ jī lete haiñ
ek ham haiñ ki hañse bhī to guzārā na huā
log ro ro ke bhi is duniya mein ji lete hain
ek hum hain ki hanse bhi to guzara na hua
-
Share this
- See Ghazal
is bharī duniyā meñ koī bhī hamārā na huā
ġhair to ġhair haiñ apnoñ kā sahārā na huā
is bhari duniya mein koi bhi hamara na hua
ghair to ghair hain apnon ka sahaara na hua
-
Share this
- See Ghazal
ik mohabbat ke sivā aur na kuchh māñgā thā
kyā kareñ ye bhī zamāne ko gavārā na huā
ek mohabbat ke siwa aur na kuchh manga tha
kya karen ye bhi zamane ko gawara na hua
-
Share this
- See Ghazal
Filmi Geet 1
Image Shayari 1
kisii kii yaad me.n duniyaa ko hai.n bhulaa.e hu.e zamaana guzraa hai apnaa KHayaal aa.e hu.e ba.Dii ajiib KHushii hai Gam-e-mohabbat bhii ha.nsii labo.n pe magar dil pe choT khaa.e hu.e hazaar parde ho.n pahre ho.n yaa ho.n diivaare.n rahe.nge merii nazar me.n to vo samaa.e hu.e kisii ke husn kii bas ik kiran hii kaafii hai ye log kyuu.n mire aage hai.n sham.a laa.e hu.e