Sher of Shamim Hanafi
maiñ ne chāhā thā ki lafzoñ meñ chhupā luuñ ḳhud ko
ḳhāmushī lafz kī dīvār girā detī hai
main ne chaha tha ki lafzon mein chhupa lun KHud ko
KHamushi lafz ki diwar gira deti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shaam ne barf pahan rakkhī thī raushniyāñ bhī ThanDī thiiñ
maiñ is ThanDak se ghabrā kar apnī aag meñ jalne lagā
sham ne barf pahan rakkhi thi raushniyan bhi ThanDi thin
main is ThanDak se ghabra kar apni aag mein jalne laga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
band kar le khiḌkiyāñ yuuñ raat ko bāhar na dekh
Dūbtī āñkhoñ se apne shahr kā manzar na dekh
band kar le khiDkiyan yun raat ko bahar na dekh
Dubti aankhon se apne shahr ka manzar na dekh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tamām umr na.e lafz kī talāsh rahī
kitāb-e-dard kā mazmūñ thā pā.emāl aisā
tamam umr nae lafz ki talash rahi
kitab-e-dard ka mazmun tha paemal aisa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo ek shor sā zindāñ meñ raat bhar kyā thā
mujhe ḳhud apne badan meñ kisī kā Dar kyā thā
wo ek shor sa zindan mein raat bhar kya tha
mujhe KHud apne badan mein kisi ka Dar kya tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bulandiyāñ āsmāñ kī sūrat zamīn ke paañv chūmtī haiñ
zamīn shāyad buland-tar thī zamīn hī meñ utar gayā vo
bulandiyan aasman ki surat zamin ke panw chumti hain
zamin shayad buland-tar thi zamin hi mein utar gaya wo