Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Bhaasha Ka Sawal

Mahatma Gandhi

Bhaasha Ka Sawal

Mahatma Gandhi

MORE BYMahatma Gandhi

    Main naagri rasm-ul-khat ki mukhaalifat nahi karta. Jaisa ki har ek rasm-ul-khat mein islaah ki zaroorat hai, isi tarah naagri rasm-ul-khat mein lambi islaah ki gunjaaish hai. Jab naagri zabaan waale urdu rasm-ul-khat ki mukhaalifat karte hain tab ismein mujhe hasad ki, t’assub ki boo aati hai. Ismein koi shak nahi ki main hindustaani ke haq mein hoon. Main maanta hoon ki naagri aur urdu rasm-ul-khat mein se aakhair-kaar jeet naagri rasm-ul-khat ki hi hogi. Isi tarah rasm-ul-khat ka khayaal chhod kar bhaaṣha ka khayaal karen. To jeet hindustaani ki hi hogi. Kyunki snskrit libaas waali hindi banaawaṭi hai. Aur hindustaani qudrati hai. Isi tarah farsi libaas wali urdu gair-qudrati aur banaawaṭi hai. Meri hindustaani mein sanskrit aur farsi ke lafz bahut kam aate hain aur wo sab samajh lete hain. Naam kaa jhagda mujhe bilkul pasand nahi hai. Naam kuchh bhi ho lekin kaam aisa ho ki jis se saare mulk ka, desh ka bhala ho. Ismein kisi naam se nafrat nahi honi chaahiye. Aur saare jahaan se achchha hindustaan hamaara’’ iqbaal ke is wachan ko sun ke kis hindustaani ka dil nahi uchhlega? Agar na uchhle to main use kam-naseeb maanunga. Iqbal ke is wachan ko main hindi kahoon. Hindustaani kahoon yaa urdu? Kaun kah sakta hai ki ismein hindustaani bhaaṣha nahi bhari padi hai. Is mein miṭhaas nahi hai. Khayaal ki bulandi nahi hai. Bhale hi is khayaal ke saath main aaj akela maana jaaun magar ye saaf hai ki sanskrit ke libaas mein hindi aur farsi ke libaas mein urdu ki jeet nahi hone waali hai. Jeet to hindustaani ki hi ho sakti hai jab hum anduruni hasad ko bhool jaaenge tabhi hum is banaavaṭi jhagde ko bhool jaaenge. Isse sharminda honge.

    Hari jan sewak, 25 January 1948

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now