Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Mazhab-mazhab Mein Farq Aur Ladaai Jhagde

Mahatma Gandhi

MORE BYMahatma Gandhi

    Asia ke logon ka khayaal dharm-mazhab ki taraf ziyaada rahta hai. Aur aajkal ke europ waalon ka sceince-vigyaan ki taraf duniya ke sab bade-bade mazhab jinke naam-leva maujood hain aur lagbhag woh sab jinke naam-leva nahi rahe, asia hi mein paida hue. Asia Walon ki saari zindagi par mazahab ki chhaap rahti hai. Hindu-musalmaan, yahoodi, paarsi baudhi. Confucius aur roman, kaithlik isaaiyon ke bhi rahan-sahan, khaan-peen, aachaar-vichaar sab par dharm ki chhaap rahti hai. Har mazhab wala yahi chaahta hai ki mera mazhab zindagi ke har kaam mein mujhe rasta dikhaae, har mazhab apne mulk aur zamaane ke mutaabiq is farz ko pooraa karne ki koshish bhi karta hai. Aahista-aahista har mazhab mein kuchh log paida ho jaate hain. Jo inhin baaton mein baal ki khaal nikaalte rahte hain. Chhoṭi-chhoṭi baaton par beja zor dete hain. Unaka mazhab kattar aur be-jaan banne lagta hai. Iski lachak jaati rahti hai. Woh zaroorat ke mutaabiq apne rasm-o-rivaaj ko bhi badal naheen sakta. Woh nikammi ghair-zaroori cheezon mein chipak jaata hai. Zaroori aur kaam ki cheezon ko bhool jaata hai. Yahaan tak ki jo raasta neki aur bhalaai ka raasta tha wahi buraai aur barbaadi ka raasta ban jaata hai. Aksar inhin ghair-zaroori baaton mein mazhab-mazhab mein firqa aur ladaai-jhagde hote hain.

    Hari jan sewak 18 January 1948

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now