Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

choTi pe teri sanp ki hai lahar do-gana

Insha Allah Khan Insha

choTi pe teri sanp ki hai lahar do-gana

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    choTī pe tirī saañp hai lahar do-gānā

    khātī huuñ tire vāste maiñ zahr do-gānā

    chitvan tirī bas dekhte yaad paḌī hai

    dillī vahī chahl vahī nahr do-gānā

    noj aise kahīñ aur hoñ ghar khoj miTe log

    sab taaḌ ga.ī hai ye burā shahr do-gānā

    ban baiThe haiñ dūlhā dulhan is vaqt jo ham tum

    to laakh ruupe to bañdhe mehr do-gānā

    maiñ tujh se samajh lūñgī bhalā kaun hai 'inshā'

    allāh haigī baḌī qahr dogānā

    choTi pe teri sanp ki hai lahar do-gana

    khati hun tere waste main zahr do-gana

    chitwan teri bas dekhte hi yaad paDi hai

    dilli ki wahi chahl wahi nahr do-gana

    noj aise kahin aur hon ghar khoj miTe log

    sab taD gai hai ye bura shahr do-gana

    ban baiThe hain dulha dulhan is waqt jo hum tum

    to lakh rupe ka to bandhe mehr do-gana

    main tujh se samajh lungi bhala kaun hai 'insha'

    allah ri tu haigi baDi qahr dogana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now