dikhao tan tan ghaDi na mohan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
dikhao tan tan ghaDi na mohan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
Mohsin Khan Mohsin
MORE BYMohsin Khan Mohsin
dikhāo tan tan ghaḌī na mohan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
hai chand roza ye husn-o-jauban ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
farāz khaTkā nasheb kā hai buā ye aalam fareb kā hai
sadā hai ghaḌiyāl kī ye Than Than ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
kahā jo 'anqā' ne jā.ūñgī ab huzūr kal-val ko ā.ūñgī ab
to kahte kyā haiñ pakaḌ ke dāman ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
na rah tū begam buā kashīdī jo rakkhe ranDī muā vo shīdī
to tū bhī jā jā ke khel sāvan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
na meḳh parde meñ gaaḌ baajī kisī se tū mat bigāḌ baajī
uḌegā bād-e-fanā se chilman ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
ghaḌī buā das bajāne ko hai hamārā dūlhā bhī aane ko hai
ghaḌī ghaḌī khol tū na rauzan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
karo na tausan havā chaman meñ na Daalo san san kisī ke man meñ
jamā jamā kar na baiTho aasan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
utaar saaya pahan le saarī dikhā de jauban kī mīnā-kārī
na kar tū naḳhre bahut firañgan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
karāo jalse bulāo hamdam uḌaao chhīñTe to dam-damā-dam
nahīñ hai dam kā bharosā sāqan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
kisī se rakkho kapaT na khaTpaT ghaḌī kī kahtī hai saaf khaTpaT
sahelī khaT hī se dīd-o-darshan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
ġhurūr-e-bejā hai māl-o-zar kā ye qaul sach hai kisī bashar kā
sadā-e-zar kā hai qaul khan-khan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
paḌe na nāzuk ragoñ pe chhālā hai jild kā rañg kaalā kaalā
ghaḌī kalā.ī kī khol bakkan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
navāb kamre meñ jā rahe haiñ musāhib un ko banā rahe haiñ
ghaḌī se qibla sajāo āñgan ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
zabān-e-mohsin hai mast qumrī ġhazal hai jaadū balā hai Thumrī
magar kisī kā rahā na jauban ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
dikhao tan tan ghaDi na mohan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
hai chand roza ye husn-o-jauban ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
faraaz khaTka nasheb ka hai bua ye aalam fareb ka hai
sada hai ghaDiyal ki ye Than Than ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
kaha jo 'anqa' ne jaungi ab huzur kal-wal ko aaungi ab
to kahte kya hain pakaD ke daman ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
na rah tu begam bua kashidi jo rakkhe ranDi mua wo shidi
to tu bhi ja ja ke khel sawan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
na meKH parde mein gaD baji kisi se tu mat bigaD baji
uDega baad-e-fana se chilman ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
ghaDi bua das bajaane ko hai hamara dulha bhi aane ko hai
ghaDi ghaDi khol tu na rauzan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
karo na tausan hawa chaman mein na Dalo san san kisi ke man mein
jama jama kar na baiTho aasan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
utar saya pahan le sari dikha de jauban ki mina-kari
na kar tu naKHre bahut firangan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
karao jalse bulao hamdam uDao chhinTe to dam-dama-dam
nahin hai dam ka bharosa saqan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
kisi se rakkho kapaT na khaTpaT ghaDi ki kahti hai saf khaTpaT
saheli khaT hi se did-o-darshan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
ghurur-e-beja hai mal-o-zar ka ye qaul sach hai kisi bashar ka
sada-e-zar ka hai qaul khan-khan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
paDe na nazuk ragon pe chhaala hai jild ka rang kala kala
ghaDi kalai ki khol bakkan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
nawab kamre mein ja rahe hain musahib un ko bana rahe hain
ghaDi se qibla sajao aangan ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
zaban-e-mohsin hai mast qumri ghazal hai jadu bala hai Thumri
magar kisi ka raha na jauban ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.