gai thi dekhne baji main suraj-kunD ka mela
ga.ī thī dekhne baajī maiñ sūraj-kunD kā melā
bachī huuñ piste piste marduoñ kā ye huā relā
lage dhakke pe dhakke aise añgiyā ho ga.ī purze
mirī patthar kī chhātī thī sitam maiñ ne jo ye jhelā
ajī patthar paḌeñ aisī hañsī par nekī-ḳhānam kī
lagā hai uuñhī kaisā aa ke merī aañkh meñ Dhelā
fatah-ḳhāñ naam hai us kā vo hai dukhnī savāroñ meñ
usī par maiñ huuñ martī ai buā bāñdhe hai jo selā
mujhe kasbī samajh kar ghūrtā thā mujh ko mele meñ
mahīnoñ bā.ī-jī laḌkā mirī godī meñ jo khelā
saḳhāvat kā pata kosoñ talak baajī nahīñ miltā
huā hātim bhī kyā jā ke nigoḌe som kā chhailā
kisī ne aaj kal mujh ko diyā jo ek bhī paisa
maiñ samjhī maarā hātim ne ye sar meñ som ke Dhelā
hamesha se nahīñ kuchh mard kī ranDī ko ḳhvāhish hai
mirī nārañgiyoñ se aap kā behtar nahīñ kelā
tire sadqe meñ maiñ ne 'jān'-sāhab aan kar dekhā
sunā kartī thī barsoñ se maiñ sūraj-kunD kā melā
gai thi dekhne baji main suraj-kunD ka mela
bachi hun piste piste marduon ka ye hua rela
lage dhakke pe dhakke aise angiya ho gai purze
meri patthar ki chhati thi sitam main ne jo ye jhela
aji patthar paDen aisi hansi par neki-KHanam ki
laga hai unhi kaisa aa ke meri aankh mein Dhela
fatah-KHan nam hai us ka wo hai dukhni sawaron mein
usi par main hun marti ai bua bandhe hai jo sela
mujhe kasbi samajh kar ghurta tha mujh ko mele mein
mahinon bai-ji laDka meri godi mein jo khela
saKHawat ka pata koson talak baji nahin milta
hua hatim bhi kya ja ke nigoDe som ka chhaila
kisi ne aaj kal mujh ko diya jo ek bhi paisa
main samjhi mara hatim ne ye sar mein som ke Dhela
hamesha se nahin kuchh mard ki ranDi ko KHwahish hai
meri narangiyon se aap ka behtar nahin kela
tere sadqe mein main ne 'jaan'-sahab aan kar dekha
suna karti thi barson se main suraj-kunD ka mela
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.