husn us ka jaan-sahab ruh ko marghub hai
husn us kā 'jān'-sāhab ruuh ko marġhūb hai
jo ajī nām-e-ḳhudā allāh kā mahbūb hai
nuuh kī aulād aañsū dil buā ayyūb hai
ek diida hai mirā aadam to ik yāqūb hai
gul khilā kar baaġh se kyā koī aa.ī ai nasīm
kyuuñ lajā.ī aañkh us nargis kī kyuuñ mahjūb hai
aabrū lene kā rahtā hai ye tālib raat din
nas-kaTā ḳhvāja-sarā bairī mirā matlūb hai
jūtiyāñ khā.īñ na bachkāna churā.īñ jūtiyāñ
samdhinoñ ne ai miyāñ mujh ko kiyā mahjūb hai
miir muusā maz.hake kā hai agar us kā kalām
'jān' sāhab shā.iroñ meñ uu-hī kaisā ḳhuub hai
husn us ka 'jaan'-sahab ruh ko marghub hai
jo aji nam-e-KHuda allah ka mahbub hai
nuh ki aulad aansu dil bua ayyub hai
ek dida hai mera aadam to ek yaqub hai
gul khila kar bagh se kya koi aai ai nasim
kyun lajai aankh us nargis ki kyun mahjub hai
aabru lene ka rahta hai ye talib raat din
nas-kaTa KHwaja-sara bairi mera matlub hai
jutiyan khain na bachkana churain jutiyan
samdhinon ne ai miyan mujh ko kiya mahjub hai
mir musa mazhake ka hai agar us ka kalam
'jaan' sahab shairon mein u-hi kaisa KHub hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.