kah di mahtab ne mehran se mulaqat ki baat
kah dī mahtāb ne mehran se mulāqāt kī baat
peT kī halkī hai ik din na pachī raat kī baat
aap ke dam meñ jo aa jaatī huuñ maiñ bhūlī huuñ
ghātī tum ho to tumheñ sūjhtī hai ghaat kī baat
mirzā haadī sā valī hai yahāñ murshid ranDī
bī banātā hai ye bātoñ meñ karāmāt kī baat
nek-baḳhtī meñ lage ashrafī-ḳhānam baTTā
kah ke Taksāl chaḌhūñ us mue bad-zāt kī baat
samjho matlab to zarā kyā kiyā samdhan ne mirī
ta.an kī ta.an hai ye aur ajī baat kī baat
ek din kā jo ho mehmān to kiije ḳhātir
roz kī kis ko ḳhush aatī hai mudārāt kī baat
baat bhī apnī ga.ī aur na chaḌhā daav pe vo
'jān' sāhab ne baḌī chaal se kī maat kī baat
kah di mahtab ne mehran se mulaqat ki baat
peT ki halki hai ek din na pachi raat ki baat
aap ke dam mein jo aa jati hun main bhuli hun
ghati tum ho to tumhein sujhti hai ghat ki baat
mirza hadi sa wali hai yahan murshid ranDi
bi banata hai ye baaton mein karamat ki baat
nek-baKHti mein lage ashrafi-KHanam baTTa
kah ke Taksal chaDhun us mue bad-zat ki baat
samjho matlab to zara kya kiya samdhan ne meri
tan ki tan hai ye aur aji baat ki baat
ek din ka jo ho mehman to kije KHatir
roz ki kis ko KHush aati hai mudaraat ki baat
baat bhi apni gai aur na chaDha daw pe wo
'jaan' sahab ne baDi chaal se ki mat ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.