KHilaf kahti hain huren ki hai qamar ka sa
ḳhilāf kahtī haiñ hūreñ ki hai qamar kā sā
hameñ nazar nahīñ aatā hai us bashar kā sā
nazar to aatā hai miTtā vo naqsha shar kā sā
duā meñ detā hai mālūm kuchh asar kā sā
gharauñde yuuñ to bahut dekh Daale begam ne
mazā milā na magar shaiḳh-jī ke ghar kā sā
hue na kasbī ko dil de ke āḳhirash hairān
maiñ pahle samjhī thī saudā hai ye zarar kā sā
nahīñ vo paan se karte haiñ surḳh suut kā muñh
lagāte haiñ dil-e-bismil meñ ek charkā sā
uThā.ī ruḳh se dilā.ī jo dūlhā ne baajī
ziyā-e-husn se jalva huā qamar kā sā
tumhāre dil sā na kho jaa.e koī aalam meñ
na koī gum ho jahāñ meñ mirī kamar kā sā
ye ḳhat navāb ko pahuñchā do maamā maiñ vaarī
banā lo ruup buā aaj nāma-bar kā sā
hazār chāhtī huuñ bolūñ un se ho ke niDar
yahī to Dar hai ki lagtā hai mujh ko dhaḌkā sā
vo DāñTā shaiḳh ko begam kī chashm-e-pur-ḳhūñ ne
huā zarā meñ vo mālūm vaañ se sarkā sā
nigoḌī vasl kī shab bhī huā na chain nasīb
lagā rahā buā khaTkā muuī sahar kā sā
suḳhan kī pariyoñ ko le kar sarīr-e-mazmūn par
havā meñ uḌtā hai 'mohsin' lagā ke par kā sā
KHilaf kahti hain huren ki hai qamar ka sa
hamein nazar nahin aata hai us bashar ka sa
nazar to aata hai miTta wo naqsha shar ka sa
dua mein deta hai malum kuchh asar ka sa
gharaunde yun to bahut dekh Dale begam ne
maza mila na magar shaiKH-ji ke ghar ka sa
hue na kasbi ko dil de ke aaKHirash hairan
main pahle samjhi thi sauda hai ye zarar ka sa
nahin wo pan se karte hain surKH sut ka munh
lagate hain dil-e-bismil mein ek charka sa
uThai ruKH se dilai jo dulha ne baji
ziya-e-husn se jalwa hua qamar ka sa
tumhaare dil sa na kho jae koi aalam mein
na koi gum ho jahan mein meri kamar ka sa
ye KHat nawab ko pahuncha do mama main wari
bana lo rup bua aaj nama-bar ka sa
hazar chahti hun bolun un se ho ke niDar
yahi to Dar hai ki lagta hai mujh ko dhaDka sa
wo DanTa shaiKH ko begam ki chashm-e-pur-KHun ne
hua zara mein wo malum wan se sarka sa
nigoDi wasl ki shab bhi hua na chain nasib
laga raha bua khaTka mui sahar ka sa
suKHan ki pariyon ko le kar sarir-e-mazmun par
hawa mein uDta hai 'mohsin' laga ke par ka sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.