KHuda ne di hai bi nam-e-KHuda kis shan ki surat
KHuda ne di hai bi nam-e-KHuda kis shan ki surat
Meer Yaar Ali Jaan
MORE BYMeer Yaar Ali Jaan
ḳhudā ne dī hai bī nām-e-ḳhudā kis shaan kī sūrat
ḳhudā shāhid hai so maiñ ek bandī 'jān' kī sūrat
mirī mainā to ik jañglū thī ik insān kī sūrat
lagā ke dil banī haivān se haivān kī sūrat
vo dil hī aur thā parvānī thī jo sham' vaale par
paḌhūñ lā-haul ab dekhūñ jo us shaitān kī sūrat
jue meñ bail haar arna mire jhagḌe meñ chhoḌ aayā
qadīmī faiz-ābādī kā gāḌībān kī sūrat
vo sonā phaT paḌe jis se ki TūTeñ kaan ai gauhar
pahan ke bāliyāñ kundan ne kī kyā kaan kī sūrat
buā vo jānvar jaisī bheñsā-pārī kī kasbī ne
jalī huuñ ye mohabbat uḌ ga.ī us baan kī sūrat
hañsī achchhī nahīñ yāsīn muñh par thuuk dene kī
adab lāzim hai chehre kā miyāñ qur.ān kī sūrat
na kyūñkar āñsuoñ se ye raheñ palkeñ mirī bhīgī
sadā paanī meñ rahtā khet hai ye dhaan kī sūrat
mire vahshī banāyā aa ke is jangal meñ ghar tū ne
jahāñ kosoñ nazar aatī nahīñ insān kī sūrat
mujhe us nas-kaTe ke haath se ye ranj pahuñchā hai
kabhī dekhūñ na mūñgā us mue marjān kī sūrat
mire navvāb se dūlhan kā apnī muñh vo Dhankvā.eñ
mue ik surḳh-rū hone ke mūñgā-jān kī sūrat
mujhe nafrat hai sūrat se nigoḌe jān-sāhab kī
vo us kī shakl kyā hai ai buā qurbān kī sūrat
KHuda ne di hai bi nam-e-KHuda kis shan ki surat
KHuda shahid hai so main ek bandi 'jaan' ki surat
meri maina to ek janglu thi ek insan ki surat
laga ke dil bani haiwan se haiwan ki surat
wo dil hi aur tha parwani thi jo sham' wale par
paDhun la-haul ab dekhun jo us shaitan ki surat
jue mein bail haar arna mere jhagDe mein chhoD aaya
qadimi faiz-abaadi ka gaDiban ki surat
wo sona phaT paDe jis se ki TuTen kan ai gauhar
pahan ke baaliyan kundan ne ki kya kan ki surat
bua wo jaanwar jaisi bhensa-pari ki kasbi ne
jali hun ye mohabbat uD gai us ban ki surat
hansi achchhi nahin yasin munh par thuk dene ki
adab lazim hai chehre ka miyan quran ki surat
na kyunkar aansuon se ye rahen palken meri bhigi
sada pani mein rahta khet hai ye dhan ki surat
mere wahshi banaya aa ke is jangal mein ghar tu ne
jahan koson nazar aati nahin insan ki surat
mujhe us nas-kaTe ke hath se ye ranj pahuncha hai
kabhi dekhun na munga us mue marjaan ki surat
mere nawwab se dulhan ka apni munh wo Dhankwaen
mue ek surKH-ru hone ke munga-jaan ki surat
mujhe nafrat hai surat se nigoDe jaan-sahab ki
wo us ki shakl kya hai ai bua qurban ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.