kis pe jhapTa mua shikari aaj
kis pe jhapTā muā shikārī aaj
chīḳh par chīḳh kis ne maarī aaj
aadhī bar-sar tumhārī saarī aaj
dekh lī ham ne saarī pyārī aaj
saut ko bhejiye savārī aaj
hai usī rū-siyah kī baarī aaj
dekh lī ham ne shab kī bedārī
māntī kyuuñ nahīñ vo vaarī aaj
hai dil-ārām detī hai ārām
kyuuñ na bulvā.eñ raam pyārī aaj
aisā maarā muī ko phirtī hai
maarī maarī tumhārī maarī aaj
kal kī girdhārī chhoḌ do kal par
dekho kyā dete haiñ murārī aaj
aisī be-ḳhabarī uī ma.āz-allāh
nahīñ lete ḳhabar hamārī aaj
ulTe ulTe hue haiñ shauq unheñ
lauñDe bulvā.e rās-dhārī aaj
kyuuñ na bulvāyā māl-zādī ko
kasbī kyā ho ga.ī dulārī aaj
hotī dil meñ na gar vo parda-nashīñ
mujh se kyuuñ hotī parda-dārī aaj
kal chaman meñ thī gul ke pahlū meñ
shabbo phirtī hai maarī maarī aaj
ḳhāk-sāroñ se hai malāl unheñ
milī miTTī meñ ḳhāk-sārī aaj
haa.e afsos chhuT ga.ī 'anqā'
rahā 'mohsin' ba-ashk-o-zārī aaj
raast kahtī huuñ aap kā 'anqā'
hissa hai reḳhtī-nigārī aaj
kis pe jhapTa mua shikari aaj
chiKH par chiKH kis ne mari aaj
aadhi bar-sar tumhaari sari aaj
dekh li hum ne sari pyari aaj
saut ko bhejiye sawari aaj
hai usi ru-siyah ki bari aaj
dekh li hum ne shab ki bedari
manti kyun nahin wo wari aaj
hai dil-aram deti hai aaram
kyun na bulwaen ram pyari aaj
aisa mara mui ko phirti hai
mari mari tumhaari mari aaj
kal ki girdhaari chhoD do kal par
dekho kya dete hain murari aaj
aisi be-KHabari ui maaz-allah
nahin lete KHabar hamari aaj
ulTe ulTe hue hain shauq unhen
launDe bulwae ras-dhaari aaj
kyun na bulwaya mal-zadi ko
kasbi kya ho gai dulari aaj
hoti dil mein na gar wo parda-nashin
mujh se kyun hoti parda-dari aaj
kal chaman mein thi gul ke pahlu mein
shabbo phirti hai mari mari aaj
KHak-saron se hai malal unhen
mili miTTi mein KHak-sari aaj
hae afsos chhuT gai 'anqa'
raha 'mohsin' ba-ashk-o-zari aaj
rast kahti hun aap ka 'anqa'
hissa hai reKHti-nigari aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.