koi mar jae ya ho jaan-ba-lab
koī mar jaa.e yā ho jān-ba-lab
apne matlab se hai unheñ matlab
rakhte laala haiñ ranDiyāñ ghar meñ
ghar kī biivī ke sāmne ye ġhazab
dūlhā bhaa.ī se dil-lagī baazī
karo dulhan buā magar ba-adab
kaam ujlat bigāḌ detī hai
pūchhte haiñ bigaḌ bigaḌ ke sabab
shaiḳh-jī haath par dharā lūñgī
maiñ na mānuñgī aap kī ab-tab
ḳhaam hai ye udheḌ-bun guyyāñ
chhūTtī hai miyāñ se kasbī kab
terī lauñDī kī ye duā hai tujhe
ho taraqqī miyāñ baḌhe mansab
terī mastāna chaal par baajī
gar phaḌak jaa.eñ vo to kyā hai ajab
qat.a kar degā nīsh-e-af.ī-mū
chhoḌ do varna ādat-e-aqrab
kisī Dhab se nigoḌī aa jaa.e
jāntī huuñ navāb kā matlab
hai yaqīn aaj to muī anqā
aa.egī aadhī raat tak aġhlab
koi mar jae ya ho jaan-ba-lab
apne matlab se hai unhen matlab
rakhte lala hain ranDiyan ghar mein
ghar ki biwi ke samne ye ghazab
dulha bhai se dil-lagi bazi
karo dulhan bua magar ba-adab
kaam ujlat bigaD deti hai
puchhte hain bigaD bigaD ke sabab
shaiKH-ji hath par dhara lungi
main na manungi aap ki ab-tab
KHam hai ye udheD-bun guyyan
chhuTti hai miyan se kasbi kab
teri launDi ki ye dua hai tujhe
ho taraqqi miyan baDhe mansab
teri mastana chaal par baji
gar phaDak jaen wo to kya hai ajab
qata kar dega nish-e-afi-mu
chhoD do warna aadat-e-aqrab
kisi Dhab se nigoDi aa jae
jaanti hun nawab ka matlab
hai yaqin aaj to mui anqa
aaegi aadhi raat tak aghlab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.