kore bachoge tum mujhe kar ke miyan KHarab
kore bachoge tum mujhe kar ke miyāñ ḳharāb
pakḌūñgī jab kamar to bahut hoge haañ ḳharāb
chhuptā nahīñ harām kare laakh parde meñ
aalam meñ nashr yūñhī nahīñ hai jahāñ ḳharāb
muflis hai to vo ashrafī-ḳhānam kī jaa.ī hai
paise kī kyā ruupe kī kare kauḌiyāñ ḳharāb
maañ baap kā ḳhayāl to dil se uThā diyā
ai baajī aaj kal kī haiñ sab laḌkiyāñ ḳharāb
jaaḌe meñ phuuT niklā ye garmī kā zor hai
ai 'jān' kis siḌan se huā tū kahāñ ḳharāb
kore bachoge tum mujhe kar ke miyan KHarab
pakDungi jab kamar to bahut hoge han KHarab
chhupta nahin haram kare lakh parde mein
aalam mein nashr yunhi nahin hai jahan KHarab
muflis hai to wo ashrafi-KHanam ki jai hai
paise ki kya rupe ki kare kauDiyan KHarab
man bap ka KHayal to dil se uTha diya
ai baji aaj kal ki hain sab laDkiyan KHarab
jaDe mein phuT nikla ye garmi ka zor hai
ai 'jaan' kis siDan se hua tu kahan KHarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.