lahar mein choTi ke tere Dar ke mare kanp kanp
lahar mein choTi ke tere Dar ke mare kanp kanp
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
lahar meñ choTī ke tere Dar ke maare kaañp kaañp
chauñk chauñk uThtī huuñ maiñ rātoñ ko kah kar saañp saañp
nauj tum koThe par aa.iiñ ai baḌī daa.ī atū
log sab sote hue tum ne jagā.e haañp haañp
koī ūñggul ḳhair se ūñchī huī to kyā huā
qad baḌhāyā begamā ne mere qad se naap naap
tū jo kahtī hai ki tujh ko bhāñptā hai ik janā
kyā Darānī mujh ko lagtī hai ye terī bhāñp bhāñp
hai baḌā jigarā tirā 'inshā' are tū qahr hai
kab talak maiñ tere kartūtoñ ko rakkhūñ Dhāñp Dhāñp
lahar mein choTi ke tere Dar ke mare kanp kanp
chaunk chaunk uThti hun main raaton ko kah kar sanp sanp
nauj tum koThe par aain ai baDi dai atu
log sab sote hue tum ne jagae hanp hanp
koi unggul KHair se unchi hui to kya hua
qad baDhaya begama ne mere qad se nap nap
tu jo kahti hai ki tujh ko bhanpta hai ek jana
kya Darani mujh ko lagti hai ye teri bhanp bhanp
hai baDa jigara tera 'insha' are tu qahr hai
kab talak main tere kartuton ko rakkhun Dhanp Dhanp
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.