paisa tha pas rahte the har-an aashna
paisa thā paas rahte the har-ān āshnā
yā duur duur karte haiñ ai jaan āshnā
aisā lahū zamāne kā ab ho gayā safed
dushman hue haiñ jo the mirī jaan āshnā
dekhūñgī be-qarār huuñ martī huuñ sach ye hai
āñkheñ haiñ dil hai jaan hai īmān-āshnā
hargiz nahīñ nigoḌe ḳhasm meñ zarā vo baat
is dil ke jo nikālegā armān āshnā
qālib huuñ jin ke do ajī aur ek jaan ho
vo āshnā pe hote haiñ qurbān āshnā
ai 'jān' 'āshiqāna kaho tuur kī tarah
haiñ jin muhāvaroñ se mire kaan āshnā
paisa tha pas rahte the har-an aashna
ya dur dur karte hain ai jaan aashna
aisa lahu zamane ka ab ho gaya safed
dushman hue hain jo the meri jaan aashna
dekhungi be-qarar hun marti hun sach ye hai
aankhen hain dil hai jaan hai iman-ashna
hargiz nahin nigoDe KHasm mein zara wo baat
is dil ke jo nikalega arman aashna
qalib hun jin ke do aji aur ek jaan ho
wo aashna pe hote hain qurban aashna
ai 'jaan' 'ashiqana kaho tur ki tarah
hain jin muhawaron se mere kan aashna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.