phir baji-jaan bhaDwe ne jhagDa kiya shuru
phir baajī jaan bhaḌve ne jhagḌā kiyā shurū'
maiñ chāhtī thī ḳhatm ho ulTā huā shurū'
husn-o-shabāb yaar kā phaTnā huā shurū'
guyyañ ġhazab ki ho gayā fitna nayā shurū'
un ko ye ḳhabt mujh se ho āġhāz-e-dāstāñ
maiñ is ḳhayāl meñ ki kareñ dil-rubā shurū'
maanā ki ham ne saut ko karvā diyā haqīr
ye to batāo kis ne ye jhagḌā kiyā shurū'
dūlhā kī tāk-jhāñk ne begam jhukā diyā
jā jā ke chauk kar diyā phir jhāñknā shurū'
anjām jab ba-ḳhair ho tab jānūñ ḳhair hai
dahlā rahā hai dil ko muī baat kā shurū'
ham ko na chheḌo kah diyā ro ro ke varna ham
kar deñge dūlhā yaar rahe kosnā shurū'
phir shaiḳh-jī ne paañv nikāle haiñ peT se
phir vo sharārteñ muā karne lagā shurū'
kyā jaane aage chal ke vo bhaḌvā karegā kyā
achchhā nahīñ nigoḌe kā jab ai buā shurū'
kyuuñ kar na nūr-e-husn se ho chaudhvīñ kā chāñd
dulhan kā chaud.hvāñ huā nām-e-ḳhudā shurū'
'mohsin' nahīñ vo fitna-e-ḳhvābīda hai buā
mujh ko ye Dar hai hashr na kar de muā shurū'
phir baji jaan bhaDwe ne jhagDa kiya shuru'
main chahti thi KHatm ho ulTa hua shuru'
husn-o-shabab yar ka phaTna hua shuru'
guyyan ghazab ki ho gaya fitna naya shuru'
un ko ye KHabt mujh se ho aaghaz-e-dastan
main is KHayal mein ki karen dil-ruba shuru'
mana ki hum ne saut ko karwa diya haqir
ye to batao kis ne ye jhagDa kiya shuru'
dulha ki tak-jhank ne begam jhuka diya
ja ja ke chauk kar diya phir jhankna shuru'
anjam jab ba-KHair ho tab jaanun KHair hai
dahla raha hai dil ko mui baat ka shuru'
hum ko na chheDo kah diya ro ro ke warna hum
kar denge dulha yar rahe kosna shuru'
phir shaiKH-ji ne panw nikale hain peT se
phir wo shararten mua karne laga shuru'
kya jaane aage chal ke wo bhaDwa karega kya
achchha nahin nigoDe ka jab ai bua shuru'
kyun kar na nur-e-husn se ho chaudhwin ka chand
dulhan ka chaudhwan hua nam-e-KHuda shuru'
'mohsin' nahin wo fitna-e-KHwabida hai bua
mujh ko ye Dar hai hashr na kar de mua shuru'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.