phir gaya tabla bajaane aaj gauhar-jaan ka
phir gayā tabla bajāne aaj gauhar-jān kā
kaisā nañgā hai nigoḌā baap chandra-bhān kā
ḳhaak gā.egā nigoḌā shaiḳh apnī bazm meñ
jāntā sur hī nahīñ bhaḌvā jo apnī taan kā
chhānte haiñ rāt-bhar dūlhā-miyāñ chakle kī ḳhaak
ḳhaak nikle hausla phir hasrat-o-armān kā
kyuuñ kaḌī sunte kisī kī dil na aa jaatā agar
kyā karūñ shikva buā apne dil-e-nādān kā
dast-basta ma.azarat par bhī na bolīñ rāt-bhar
ham pe vājib shukriya hai suut ke ehsān kā
pāñdāñ bhaḌve ke sar par maar dūñgī aaj maiñ
saut kā bhejā huā khāyā jo biiḌā paan kā
kyuuñ na ranjīda ho 'mohsin' do mahīne se buā
ḳhat nahīñ lahore se aayā ilāhī-jān kā
phir gaya tabla bajaane aaj gauhar-jaan ka
kaisa nanga hai nigoDa bap chandra-bhan ka
KHak gaega nigoDa shaiKH apni bazm mein
jaanta sur hi nahin bhaDwa jo apni tan ka
chhante hain raat-bhar dulha-miyan chakle ki KHak
KHak nikle hausla phir hasrat-o-arman ka
kyun kaDi sunte kisi ki dil na aa jata agar
kya karun shikwa bua apne dil-e-nadan ka
dast-basta mazarat par bhi na bolin raat-bhar
hum pe wajib shukriya hai sut ke ehsan ka
pandan bhaDwe ke sar par mar dungi aaj main
saut ka bheja hua khaya jo biDa pan ka
kyun na ranjida ho 'mohsin' do mahine se bua
KHat nahin lahore se aaya ilahi-jaan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.