talaq de to rahe ho ghurur-o-qahr ke sath
talāq de to rahe ho ġhurūr-o-qahr ke saath
mirā shabāb bhī lauTā do merī mahr ke saath
vo kah rahā hai ki lā.ūñgā ghar meñ sautan ko
pilā rahā hai vo āb-e-hayāt zahr ke saath
maiñ is liye yahāñ aatī huuñ tum jo rahte ho
mujhe hai itnā ta.alluq tumhāre shahr ke saath
bazār jaane kī jaldī na jaane kaun sī thī
mujhe jo le na ga.e vo zarā sā Thahr ke saath
maiñ un ko jā ke uThā laa.ī us kī mahfil se
vo dekhtī rahī mujh ko nigāh-e-qahr ke saath
talaq de to rahe ho ghurur-o-qahr ke sath
mera shabab bhi lauTa do meri mahr ke sath
wo kah raha hai ki launga ghar mein sautan ko
pila raha hai wo aab-e-hayat zahr ke sath
main is liye yahan aati hun tum jo rahte ho
mujhe hai itna talluq tumhaare shahr ke sath
bazar jaane ki jaldi na jaane kaun si thi
mujhe jo le na gae wo zara sa Thahr ke sath
main un ko ja ke uTha lai us ki mahfil se
wo dekhti rahi mujh ko nigah-e-qahr ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.