tisre chauthe bhi aate nahin ghar aap se aap
tīsre chauthe bhī aate nahīñ ghar aap se aap
bandī phir kyuuñ na ho āmāda-e-shar aap se aap
gardish-e-pīr-e-falak ke buā khā kar chakkar
sīdhā ho jaatā hai kaj-ḳhulq bashar aap se aap
teġh-e-abrū ke agar dekh leñ jauhar baajī
chhoḌ deñ aaj miyāñ tīr-o-tabar aap se aap
dekhnā paan kī jā ḳhaak na bhar duuñ muñh meñ
shaiḳh uljhe to muā ḳhāk-ba-sar aap se aap
paalā ustād se jab tak na paḌegā ḳhāla
chhoḌne kā nahīñ laala mirā dar aap se aap
ham bigaḌte nahīñ aise ki buā man jaa.eñ
vo manāyā kareñ sau baar agar aap se aap
karo tadbīr vo guyyāñ ki miyāñ tark kareñ
coat patlūn se hotel kā dinner aap se aap
aisī tadbīr ho maamā ki na ho naam mirā
shauq se aa.eñ jo aanā ho magar aap se aap
chauk meñ chāk-e-girebāñ pe machalnā kaisā
karte kyuuñ zid haiñ vahī bār-e-digar aap se aap
aisā nusḳha koī tajvīz karo tum 'anqā'
jaatā 'mohsin' kā rahe dard-e-jigar aap se aap
tisre chauthe bhi aate nahin ghar aap se aap
bandi phir kyun na ho aamada-e-shar aap se aap
gardish-e-pir-e-falak ke bua kha kar chakkar
sidha ho jata hai kaj-KHulq bashar aap se aap
tegh-e-abru ke agar dekh len jauhar baji
chhoD den aaj miyan tir-o-tabar aap se aap
dekhna pan ki ja KHak na bhar dun munh mein
shaiKH uljhe to mua KHak-ba-sar aap se aap
pala ustad se jab tak na paDega KHala
chhoDne ka nahin lala mera dar aap se aap
hum bigaDte nahin aise ki bua man jaen
wo manaya karen sau bar agar aap se aap
karo tadbir wo guyyan ki miyan tark karen
coat patlun se hotel ka dinner aap se aap
aisi tadbir ho mama ki na ho nam mera
shauq se aaen jo aana ho magar aap se aap
chauk mein chaak-e-gireban pe machalna kaisa
karte kyun zid hain wahi bar-e-digar aap se aap
aisa nusKHa koi tajwiz karo tum 'anqa'
jata 'mohsin' ka rahe dard-e-jigar aap se aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.