bapa qirtas par yun matam-e-shabbir karta hun
bapā qirtās par yuuñ mātam-e-shabbīr kartā huuñ
maiñ ashkoñ ke qalam se karbalā tahrīr kartā huuñ
pashemāñ ho ke dariyā hichkiyoñ se rone lagtā hai
'alī-asġhar kī jab maiñ tishnagī tasvīr kartā huuñ
mire idrāk ke qalb-e-hazīñ se ḳhuuñ nikaltā hai
bayāñ maiñ jab bhī hāl-e-zainab-e-dil-gīr kartā huuñ
nabī kī aal kā dushman musalmāñ ho nahīñ saktā
koī gar hai to maiñ us kī khulī takfīr kartā huuñ
mirī gar koī 'izzat hai to bas is kā sabab ye hai
maiñ ahl-e-bait kī 'vāsif' bahut tauqīr kartā huuñ
bapa qirtas par yun matam-e-shabbir karta hun
main ashkon ke qalam se karbala tahrir karta hun
pasheman ho ke dariya hichkiyon se rone lagta hai
'ali-asghar ki jab main tishnagi taswir karta hun
mere idrak ke qalb-e-hazin se KHun nikalta hai
bayan main jab bhi haal-e-zainab-e-dil-gir karta hun
nabi ki aal ka dushman musalman ho nahin sakta
koi gar hai to main us ki khuli takfir karta hun
meri gar koi 'izzat hai to bas is ka sabab ye hai
main ahl-e-bait ki 'wasif' bahut tauqir karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.