dars-e-shabbir ke sanche mein jo Dhal jaega
dars-e-shabbīr ke sāñche meñ jo Dhal jā.egā
sarhad-e-fikr se aage vo nikal jā.egā
dekh 'abbās ke neze ko 'asā-e-mūsā
azhdahā ban ke ye faujoñ ko nigal jā.egā
'ālam-e-tishnagī-e-hazrat-e-shabbīr na pūchh
aisī garmī hai ki sūraj bhī pighal jā.egā
ik gunahgār ‘atash ḳhema-e-baḳhshish kī taraf
pairoñ ke bal nahīñ vo āñkhoñ ke bal jā.egā
sabr ke paañv tale phuul khileñge har-sū
ḳhushk sahrā bhī ye gulshan meñ badal jā.egā
har qadam diin ko āzād karegī zanjīr
aabla raah ke kāñToñ ko kuchal jā.egā
ḳhushk hoñToñ pe zabāñ phereñge apnī asġhar
'alqama dam tirī maujoñ kā nikal jā.egā
sar-e-qirtās likhūñ shām-e-ġharībāñ kaise
Dar hai ki ḳhema-e-alfāz bhī jal jā.egā
karbalā jā ke mujhe chain milegā 'mohkam'
jo machaltā hai mirā dil vo sañbhal jā.egā
dars-e-shabbir ke sanche mein jo Dhal jaega
sarhad-e-fikr se aage wo nikal jaega
dekh 'abbas ke neze ko 'asa-e-musa
azhdaha ban ke ye faujon ko nigal jaega
'alam-e-tishnagi-e-hazrat-e-shabbir na puchh
aisi garmi hai ki suraj bhi pighal jaega
ek gunahgar ‘atash KHema-e-baKHshish ki taraf
pairon ke bal nahin wo aankhon ke bal jaega
sabr ke panw tale phul khilenge har-su
KHushk sahra bhi ye gulshan mein badal jaega
har qadam din ko aazad karegi zanjir
aabla rah ke kanTon ko kuchal jaega
KHushk honTon pe zaban pherenge apni asghar
'alqama dam teri maujon ka nikal jaega
sar-e-qirtas likhun sham-e-ghariban kaise
Dar hai ki KHema-e-alfaz bhi jal jaega
karbala ja ke mujhe chain milega 'mohkam'
jo machalta hai mera dil wo sanbhal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.