husain aap ke afkar se talluq hai
husain aap ke afkār se ta'alluq hai
so har yazīd ke inkār se ta'alluq hai
tumhārā jabr kī sarkār se ta'alluq hai
hamārā sabr ke darbār se ta'alluq hai
hamāre ghar pe jo lahrā rahā hai haq kā 'alam
hamārā ek 'alam-dār se ta'alluq hai
ham is liye to shifā bāñTte haiñ logoñ meñ
hamārā ‘ābid-e-bīmār se ta'alluq hai
ham apne sar meñ na kyoñ ḳhāk-e-karbalā Dāleñ
hamārā shahr-e-'azā-dār se ta'alluq hai
yazīd-e-vaqt laraztā hai is liye ham se
hamārā haidar-e-karrār se ta'alluq hai
hamārī qabr ke katbe pe yā-husain likho
ki un kā hashr ke darbār se ta'alluq hai
'alī kā nā'ra lagā kar bahisht meñ jaao
'alī ke nā'roñ kā us paar se ta'alluq hai
ham is liye to manāte haiñ jashn-e-ġham 'vāsif'
hamāre ġham kā bhī ġham-ḳhvār se ta'alluq hai
husain aap ke afkar se ta'alluq hai
so har yazid ke inkar se ta'alluq hai
tumhaara jabr ki sarkar se ta'alluq hai
hamara sabr ke darbar se ta'alluq hai
hamare ghar pe jo lahra raha hai haq ka 'alam
hamara ek 'alam-dar se ta'alluq hai
hum is liye to shifa banTte hain logon mein
hamara ‘abid-e-bimar se ta'alluq hai
hum apne sar mein na kyon KHak-e-karbala Dalen
hamara shahr-e-'aza-dar se ta'alluq hai
yazid-e-waqt larazta hai is liye hum se
hamara haidar-e-karrar se ta'alluq hai
hamari qabr ke katbe pe ya-husain likho
ki un ka hashr ke darbar se ta'alluq hai
'ali ka na'ra laga kar bahisht mein jao
'ali ke na'ron ka us par se ta'alluq hai
hum is liye to manate hain jashn-e-gham 'wasif'
hamare gham ka bhi gham-KHwar se ta'alluq hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.