ek aisa dard ka chashma baha gae hain husain
ik aisā dard kā chashma bahā ga.e haiñ husain
hamārī āñkhoñ ko dariyā banā ga.e haiñ husain
koī to hur kī tarah nikle shab ke ḳheme se
mujhe hī sub.h kā taara banā ga.e haiñ husain
kisī bhī nuur kā maslak se kyā ta'alluq hai
charāġh har kisī ghar meñ jalā ga.e haiñ husain
hamāre ashkoñ kī me'rāj hai 'azā-dārī
in āñsuoñ ko bhī jiinā sikhā ga.e haiñ husain
udaas lamhoñ kī tārīkiyoñ se bāhar aa
tire nasīb ko hur jagmagā ga.e haiñ husain
sipāh-e-shām meñ dahshat sī chhā.ī hai 'shārib'
saroñ se apne jo maqtal sajā ga.e haiñ husain
ek aisa dard ka chashma baha gae hain husain
hamari aankhon ko dariya bana gae hain husain
koi to hur ki tarah nikle shab ke KHeme se
mujhe hi subh ka tara bana gae hain husain
kisi bhi nur ka maslak se kya ta'alluq hai
charagh har kisi ghar mein jala gae hain husain
hamare ashkon ki me'raj hai 'aza-dari
in aansuon ko bhi jina sikha gae hain husain
udas lamhon ki tarikiyon se bahar aa
tere nasib ko hur jagmaga gae hain husain
sipah-e-sham mein dahshat si chhai hai 'shaarib'
saron se apne jo maqtal saja gae hain husain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.