injil ki surat kabhi tauraat ke manind
injīl kī sūrat kabhī taurāt ke mānind
alfāz 'atā kar mujhe āyāt ke mānind
bedār kiyā zulmat-e-shab se jo azaañ ne
hai haal mirā hur tire hālāt ke mānind
aane ko hai shāyad ġham-e-shabbīr kā mausam
kyoñ aañkh barasne lagī barsāt ke mānind
hai qāsim-e-naushāh kī mid.hat kā irāda
alfāz chale aate haiñ bārāt ke mānind
inkār ne bai'at kā mahal toḌ diyā hai
tūfān se barbād makānāt ke mānind
māñge haiñ ruḳh-e-jaun se sūraj ne ujāle
muhtāj ke hoñToñ kī munājāt ke mānind
shā'ir huuñ sakīna kā maiñ koī bhī tasavvur
mā'sūm kahāñ mere ḳhayālāt ke mānind
din bhī nahīñ guzrā koī us din kī tarah se
aur raat bhī aa.ī nahīñ us raat ke mānind
ham baiThe raheñ majlis-e-shabbīr meñ 'mohkam'
aur sadiyāñ guzartī raheñ lamhāt ke mānind
injil ki surat kabhi tauraat ke manind
alfaz 'ata kar mujhe aayat ke manind
bedar kiya zulmat-e-shab se jo azan ne
hai haal mera hur tere haalat ke manind
aane ko hai shayad gham-e-shabbir ka mausam
kyon aankh barasne lagi barsat ke manind
hai qasim-e-naushah ki midhat ka irada
alfaz chale aate hain baraat ke manind
inkar ne bai'at ka mahal toD diya hai
tufan se barbaad makanat ke manind
mange hain ruKH-e-jaun se suraj ne ujale
muhtaj ke honTon ki munajat ke manind
sha'ir hun sakina ka main koi bhi tasawwur
ma'sum kahan mere KHayalat ke manind
din bhi nahin guzra koi us din ki tarah se
aur raat bhi aai nahin us raat ke manind
hum baiThe rahen majlis-e-shabbir mein 'mohkam'
aur sadiyan guzarti rahen lamhat ke manind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.