jab jab suna gaya hai tera tazkira husain
jab jab sunā gayā hai tirā tazkira husain
āñkhoñ meñ jhilmilā.ī shab-e-karbalā husain
nahr-e-furāt sharm agar ho to Duub mar
tere qarīb rah ke bhī pyāsā rahā husain
ik ek phuul apne chaman kā luTā diyā
laa.e kahāñ se koī kaleja tirā husain
rāh-e-ḳhudā meñ nazr dī nannhī sī jaan kī
duniyā na de sakegī koī dūsrā husain
pūchhā gayā ki kis pe shahādat ko naaz hai
har shaḳhs kī zabāñ pe yahī shor thā husain
āġhosh-e-mustafā meñ tirī parvarish huī
ab aur kyā bayāñ ho tirā martaba husain
bai'at na kī husain ne dast-e-yazīd par
mafhūm-e-haq yuuñ duniyā ko samjhā gayā husain
sajda tavīl kar diyā sarkār ne mire
pusht-e-rasūl-e-pāk pe thā kheltā husain
jab jab suna gaya hai tera tazkira husain
aankhon mein jhilmilai shab-e-karbala husain
nahr-e-furaat sharm agar ho to Dub mar
tere qarib rah ke bhi pyasa raha husain
ek ek phul apne chaman ka luTa diya
lae kahan se koi kaleja tera husain
rah-e-KHuda mein nazr di nannhi si jaan ki
duniya na de sakegi koi dusra husain
puchha gaya ki kis pe shahadat ko naz hai
har shaKHs ki zaban pe yahi shor tha husain
aaghosh-e-mustafa mein teri parwarish hui
ab aur kya bayan ho tera martaba husain
bai'at na ki husain ne dast-e-yazid par
mafhum-e-haq yun duniya ko samjha gaya husain
sajda tawil kar diya sarkar ne mere
pusht-e-rasul-e-pak pe tha khelta husain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.