jab tak saron pe dhup ka KHadsha nahin hua
jab tak saroñ pe dhuup kā ḳhadsha nahīñ huā
sunsān rāstoñ meñ bhī ḳhatra nahīñ huā
dukh-dard apne she'r meñ rakkhe to haiñ magar
tahrīr baap kā koī nuqta nahīñ huā
hālāñki roz-o-shab meñ ka.ī moḌ the magar
ik baap ke vujūd se faaqa nahīñ huā
jhurriyoñ meñ aa ga.ī thī masāfat kī dāstāñ
yuuñ hī tamām 'umr kā rasta nahīñ huā
kitne tafakkurāt ko sahtā rahā magar
ḳhūgar ġhamoñ se baap kā chehra nahīñ huā
har ġham meñ ġham-gusār lagī karbalā hameñ
dil meñ sivā husain ke ġhalba nahīñ huā
‘ishq-e-nabī butūl 'alī aur hasan husain
sad-shukr munkiroñ meñ ye virsa nahīñ huā
ik tiir jis ne chhed diyā baap kā jigar
āsān ghar luTāne kā vā'da nahīñ huā
aañsū kī qadr jā ke sakīna se pūchh lo
jī bhar ke jis se baap pe girya nahīñ huā
kyoñ hañs paḌā thā god meñ asġhar sā gul-badan
hal aaj bhī kisī se ye nukta nahīñ huā
sajjād ḳhuuñ ugalte rahe ek 'umr tak
ojhal nazar se dard kā kuufa nahīñ huā
ehsān kis tarah se raqam hoñ ki 'umr-bhar
'ḳhurram' thakan kā baap kī charchā nahīñ huā
jab tak saron pe dhup ka KHadsha nahin hua
sunsan raston mein bhi KHatra nahin hua
dukh-dard apne she'r mein rakkhe to hain magar
tahrir bap ka koi nuqta nahin hua
haalanki roz-o-shab mein kai moD the magar
ek bap ke wujud se faqa nahin hua
jhurriyon mein aa gai thi masafat ki dastan
yun hi tamam 'umr ka rasta nahin hua
kitne tafakkuraat ko sahta raha magar
KHugar ghamon se bap ka chehra nahin hua
har gham mein gham-gusar lagi karbala hamein
dil mein siwa husain ke ghalba nahin hua
‘ishq-e-nabi butul 'ali aur hasan husain
sad-shukr munkiron mein ye wirsa nahin hua
ek tir jis ne chhed diya bap ka jigar
aasan ghar luTane ka wa'da nahin hua
aansu ki qadr ja ke sakina se puchh lo
ji bhar ke jis se bap pe girya nahin hua
kyon hans paDa tha god mein asghar sa gul-badan
hal aaj bhi kisi se ye nukta nahin hua
sajjad KHun ugalte rahe ek 'umr tak
ojhal nazar se dard ka kufa nahin hua
ehsan kis tarah se raqam hon ki 'umr-bhar
'KHurram' thakan ka bap ki charcha nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.