mere husain se jo bad-guman ho jae
mire husain se jo bad-gumān ho jaa.e
mirī du'ā hai ki vo be-nishān ho jaa.e
karūñgā phir 'alī-akbar pe guftugū tujh se
ḳhudā kare tirā beTā javān ho jaa.e
munāfiqoñ kī tasallī bahut zarūrī hai
ġhadīr-e-ḳhum kā zarā phir bayān ho jaa.e
'alī ke ruup meñ hotā hai yā-'alī paidā
koī makān agar lā-makān ho jaa.e
ḳhudā sulātā hai nafsunnabī ko bistar par
jab apne ghar meñ nabī be-amān ho jaa.e
maiñ jab bhī zikr karūñ shaam ke asīroñ kā
lahū lahū mire dil kī fuġhān ho jaa.e
the saare ummatī par ek ummatī bhī na thā
jo qaidiyoñ ke liye sā.ebān ho jaa.e
barahna pusht pe naaqa kī ik bañdhā bīmār
barā.e-nasl-e-'alī sārbān ho jaa.e
ḳhamosh aisā ki jaise ġhilāf meñ qur.āñ
jo lab-kushā ho to nutq-e-azān ho jaa.e
agar na buġhz ho dil meñ to kaise mumkin hai
bayān-e-hubb-e-'alī chīstān ho jaa.e
hamāre 'ahd kā har ek mīsam-e-tammār
yazīdī chāhte haiñ be-zabān ho jaa.e
adā ye rasm-e-'azā yuuñ karo 'azā-dāro
ki ik shigāf sar-e-āsmān ho jaa.e
ba-nām-e-āl-e-'alī-murtazā ba-nām-e-husain
shahīd kaash mirā ḳhāndān ho jaa.e
salām likhte hue hichkiyoñ se kī hai du'ā
ki mujh sā bad-sadā ratb-ul-lisān ho jaa.e
maiñ ahl-e-bait kī nusrat likhūñ to aise likhūñ
ki harf harf mirā nardbān ho jaa.e
faroġh fikr-e-husainī ko itnā duuñ 'vāsif'
ki mujh se raazī shah-e-do-jahān ho jaa.e
likhī hai manqabat ik rājpūt shā'ir ne
zarā sī daad shah-e-sayyedān ho jaa.e
mere husain se jo bad-guman ho jae
meri du'a hai ki wo be-nishan ho jae
karunga phir 'ali-akbar pe guftugu tujh se
KHuda kare tera beTa jawan ho jae
munafiqon ki tasalli bahut zaruri hai
ghadir-e-KHum ka zara phir bayan ho jae
'ali ke rup mein hota hai ya-'ali paida
koi makan agar la-makan ho jae
KHuda sulata hai nafsunnabi ko bistar par
jab apne ghar mein nabi be-aman ho jae
main jab bhi zikr karun sham ke asiron ka
lahu lahu mere dil ki fughan ho jae
the sare ummati par ek ummati bhi na tha
jo qaidiyon ke liye saeban ho jae
barahna pusht pe naqa ki ek bandha bimar
barae-nasl-e-'ali sarban ho jae
KHamosh aisa ki jaise ghilaf mein quran
jo lab-kusha ho to nutq-e-azan ho jae
agar na bughz ho dil mein to kaise mumkin hai
bayan-e-hubb-e-'ali chistan ho jae
hamare 'ahd ka har ek misam-e-tammar
yazidi chahte hain be-zaban ho jae
ada ye rasm-e-'aza yun karo 'aza-daro
ki ek shigaf sar-e-asman ho jae
ba-nam-e-al-e-'ali-murtaza ba-nam-e-husain
shahid kash mera KHandan ho jae
salam likhte hue hichkiyon se ki hai du'a
ki mujh sa bad-sada ratb-ul-lisan ho jae
main ahl-e-bait ki nusrat likhun to aise likhun
ki harf harf mera nardban ho jae
farogh fikr-e-husaini ko itna dun 'wasif'
ki mujh se raazi shah-e-do-jahan ho jae
likhi hai manqabat ek rajput sha'ir ne
zara si dad shah-e-sayyedan ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.