yun gulu-e-KHushk se nata hai gahra pyas ka
yuuñ gulū-e-ḳhushk se naatā hai gahrā pyaas kā
kaT nahīñ saktā kabhī ḳhanjar se rishta pyaas kā
haa.e kitnī tishnagī thī karbalā ke dasht meñ
'umr bhar paḌhte rahe sajjād nauha pyaas kā
ḳhushk ho jaatī hamesha ke liye nahr-e-furāt
gar milā detā vo pyāsā ek qatra pyaas kā
zikr-e-'abbās-o-sakīna kījiyegā bā-vazū
ek qur.ān-e-vafā hai ik sahīfa pyaas kā
garmī-e-‘āshūr meñ thā hashr kā manzar 'ayāñ
vo savā neze pe sūraj aur vo ġhalba pyaas kā
nāgahāñ āñkhoñ meñ tasvīr-e-sakīna aa ga.ī
jab tasavvur ne mire khīñchā hai naqsha pyaas kā
gird-e-marqad aaj bhī paanī hai masrūf-e-tavāf
turbat-e-'abbās hai yā hai ye kā'ba pyaas kā
maiñ ne likkhā thā faqat kāġhaz pe 'mohkam' yā-husain
ban gayā ahl-e-‘azā ke haq meñ nauha pyaas kā
yun gulu-e-KHushk se nata hai gahra pyas ka
kaT nahin sakta kabhi KHanjar se rishta pyas ka
hae kitni tishnagi thi karbala ke dasht mein
'umr bhar paDhte rahe sajjad nauha pyas ka
KHushk ho jati hamesha ke liye nahr-e-furaat
gar mila deta wo pyasa ek qatra pyas ka
zikr-e-'abbas-o-sakina kijiyega ba-wazu
ek quran-e-wafa hai ek sahifa pyas ka
garmi-e-‘ashur mein tha hashr ka manzar 'ayan
wo sawa neze pe suraj aur wo ghalba pyas ka
nagahan aankhon mein taswir-e-sakina aa gai
jab tasawwur ne mere khincha hai naqsha pyas ka
gird-e-marqad aaj bhi pani hai masruf-e-tawaf
turbat-e-'abbas hai ya hai ye ka'ba pyas ka
main ne likkha tha faqat kaghaz pe 'mohkam' ya-husain
ban gaya ahl-e-‘aza ke haq mein nauha pyas ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.